Monday, May 12, 2025
HomeHyderabadHyderabad: Selaab se mutasirah ilaqon mein log Fungal Infection aur diarrhea ka...

Hyderabad: Selaab se mutasirah ilaqon mein log Fungal Infection aur diarrhea ka shikaar

Ek naye Survey mein inkishaaf huwa hai ke selaab se mutasirah ilaqon mein 70 feesad log Fungal Infection aur 20 feesad afraad ko Diarrhea ka shikaar ho rahen hai.

14 aur 18 October 2020 ke darmiyan, Telangana ke dar-ul-hukoomat Hyderabad mein ghair mamooli barish hui jis ki wajah se shehar ki hudood mein 50 se zayed amwaat aur amlaak ko 670 Crore ka nuqsaan pouncha. Shehar mein zordar tofani barishain ghair Monsoon mahinay mein huien. Mosmyati taqweem ke mutabiq, June se September tak ekhtataam Monsoon mahinay samjha jata hai.

EK Survey se inkishaaf huwa hai ke 10 mein se 8 afraad jald ki infection ki ittila day rahay hain, Khaas kar pani ke sabab peeron mein. Sirf 3 din mein, Hum 2000 selaab se mutasirah logon tak puhanche jo ghar ghar jaakar dawaen day rahay hain. Helping Hand Foundation ke Mujtaba Hussain Askari ne kaha ke jab tak halaat behtar nahi hon ge hum is kaam ko jari rakhen ge.

Log sadme ki haalat mein hain kyunkay unhoun ne selaab se sab kuch kho diya hai. Agarchay bohat saaray ilaqon mein pani kam hochuka hai, lekin is pareshani ne logon ko tibbi aur sehat ki dekh bhaal ki khidmaat tak rasai mushkil bana di hai. Log mutadid ilaqon mein sehat ki khidmaat ghar ghar pohanchanay ki darkhwast kar rahay hain.

Ghair sarkari tanzeem ne logon ko bimarion se nimatnay mein madad ke liye ilaqay mein ek baydaari muhim bhi shuru ki hai ek NGO ki janib se safai aur Bleaching powder ka chidkao ka kaam jari hai taakay log Fungal Infection ka shikaar hune bachay rahen. NGO ne tele medicine help line bhi shuru ki hai, Jis ki madad se woh mutasirah afraad ke gharon mein dawai pouncha rahi hai aur Covid alamaat ki nigrani aur jaanch kar rahi hai.

Municipal Administration ke wazeer KT Rama Rao ( KTR ) ne kaha ke reyasti hukoomat ne imdaad aur bachao ke iqdamaat par 60 crore rupay kharch kiye hain. Unhoun ne kaha ke anay walay dinon mein mazeed 6.70 crore rupiye kharch hon ge. KTR ne bataya ke 29 gharanon ko har ek 5 lakh rupiye ki sabiqa pesh kash ki gayi hai aur un mein se 4 par amal-dar-aamad jari hai. Unhoun ne bataya ke 3 afraad ta haal la patah hain.