Thursday, July 10, 2025
HomeSportsSouth Asian Games mein Cricket bhi shaamil

South Asian Games mein Cricket bhi shaamil

Agarchay tareeqa e kaar ko hanoz qatiat nahi di gayi taham quawwi imkaan hai ke T20 ko ikhtiyar kya jaye ga.

Kathmandu. South Asian Olympic Committee (SAOC) ne Cricket ke khail ko 13th  South Asian Games mein shaamil karliya hai jis ki guzashta roz manzoori di gayi. Yeh Games 9 se 18 March 2019 tak Kathmandu mein khailay jayen ge. Is se qabal 2011 mein Bangladesh mein khele gaye South Asian Games mein Cricket ko shaamil kya gaya tha taham 2016 mein Bharat mein khailay gaye 12th Asian Games mein Cricket ko shaamil nahi kya gaya tha. Pakistan Olympic Association ke mutabiq South Asian Olympic Committee ne Cricket sameit 25 khelon ki bazabta manzoori daydi hai. Aglay saal munaqqid honay walay South Asian Games mein mardon aur khawateen dono ke Cricket muqablay karaye jayen ge. Agarchay in games mein kaunsa tareeqa e kaar ikhtiyar kya jaye ga hanoz taye nahi kya gaya hai taham quawwi imkaan hai ke T20 ko ikhtiyar kya jaye ga. Yeh bhi bataya ja raha hai ke mardon ke Zumra mein teen senior khiladion ke sath under 23 Cricketers rakhay jayen ge jabkay khawateen ke Zumra mein sirf senior khiladi hi hissa le payen ge. Hindustan mein munaqidah pichlle muqablon mein 8 mumalik ne hissa liya tha aur yeh 23 khelon ko shaamil kya gaya tha. Bangladesh ne un khelon ke iftitahi muqablon ki 1984 mein maizbani ki thi is martaba South Asian Olympic Committee se Afghanistan ki dast bardari ke baais hissa lainay mumalik ki tadaad ghatt gayi magar un muqablon mein 27 discipline rakhay gaye hain.