Wednesday, May 7, 2025
HomeSliderSharjah ke chhotey maidan par Kolkata ko Mumbai ka bada challenge

Sharjah ke chhotey maidan par Kolkata ko Mumbai ka bada challenge

Abu Dhabi: Kolkata Knight Riders ki team jummay ko mazboot Mumbai Indians ke khilaaf IPL match mein wapsi karne ke iraday se maidan mein utre gi jabkay Mumbai ka maqsad Playoff ke liye apne muaqqaf ko mustahkam karna hoga. Mumbai 7 Matches mein 5 fatohat aur 10 points ke sath teams ke Point Table mein dosray number par hai. Kolkata 7 Matches mein 4 jeet aur 8 Points ke sath chouthay number par hai. Rohit Sharma ki zair qayadat Mumbai is Tournament mein mustaqil umdah karkardagi ka muzahira kar rahi hai aur is ne apne aakhri match mein Delhi Capitals ku 5 wickets se shikast di thi.

Doosri janib Kolkata ko apne guzashta muqablay mein Sharjah mein Royal Challengers Bangalore ke khilaaf 82 runs ki sharamnaak shikast ka saamna karna pada tha. Kolkata ko apni Bowling aur Batting dono mein behtari laane ki zaroorat hai tabhi woh Mumbai jaisi mazboot team ke khilaaf wapsi kar saken ge. Un dono ne 23 September ko Abu Dhabi mein IPL mein aamna saamna kiya tha jahan Mumbai 49 runs se kamyabi haasil ki thi. Is match mein Mumbai ne apne captain aur opener Rohit Sharma ke 80 runs ki umdah Inning se kamyabi haasil ki thi. Mumbai ne 5 wicket par 195 runs bananay ke baad Kolkata ko 9 wickets par 146 runs tak mehdood rakha tha. Kolkata ne is terhan shikast ke sath Tournament ka aaghaz kiya. Rohit ek baar phir is ground par Kolkata ke khilaaf ek badi Inning khelna chahain ge.

Abu Dhabi mein apne pichlle match mein Mumbai ne Quentin de Kok ( 53 ) Aur Surya Kumar Yadav ( 53 ) ki shandaar nisf Centuries ke sath Delhi Capitals ku 5 wickets se shikast di. Delhi ne 4 wicket par 162 runs ka mushkil Score banaya jabkay Mumbai ne 19.4 over mein 5 wicket par 166 run banaye. Aakhri match mein Rohit sirf 5 runs bana sakay thay lekin is martaba un ka hadaf team ke liye ek badi inning khelna hoga.

Is match mein fatah ke bawajood Rohit ne kaha tha ke un ki team ko abhi bhi kayi shobo mein behtari ki zaroorat hai. Rohit ne kaha ke hum ne jis terhan ki karkardagi ka muzahira kiya hai is se hamaray aetmaad mein izafah huwa hai. Yeh zaroori hai ke hum apni taal barqarar rakhen. Hum ne sabhi cheeze theek karli lekin phir bhi hamein kisi nah kisi shobay mein behtari ki zaroorat hai. Hum behtar bowling kar rahay hain aur batting mein bhi achi inning bhi khail rahay hain lekin hamein usay aakhir tak barqarar rakhna hoga.

Doosri taraf Kolkata ko apne pichlle match ki mayoos kun karkardagi par qaboo paana hoga. Sharjah ke chhootey ground par Bangalore ne 2 wickets par 194 runs ka mazboot Score Kiya tha jabkay Kolkata sirf 9 wickets par 112 run hi bana saki. Nojawan opener Shubman Gill ko chhodh kar dosra koi batsman wicket par tik hi nahi saka. Gill ne 34 runs banaye, Is ke baad Andre Russell aur Rahul Tripathi ne fi kis 16 runs banaye. IPL mein Debut khiladi Tom Banton 8, Nitish Rana 9, 11 Morgan 8 aur Captian Dinesh Karthik sirf 1 run bana sakay. kolkata ku is terhan ke batting ke sath Mumbai ki mazboot bowling ke khilaaf jeetnay ki umeed nahi karsaktha hai jis mein Jasprit Bumrah aur Trent Boult jaisay behtareen fast bowler mojood hain. Kolkata ke Captain Karthik ne bhi aitraaf kiya hai ke team ko batting mein behtari laane ki zaroorat hai. Karthik ne kaha ke hamein bohat si cheezon mein islaah karni hogi aur apni ghaltion se sabaq lena hoga. Batting ek aisa shoba hai jahan hamein behtari ki zaroorat hai.