Monday, April 21, 2025
HomeSliderKhangi Universition ke qiyam se talba mein be cheeni, Muft taleem dainay...

Khangi Universition ke qiyam se talba mein be cheeni, Muft taleem dainay ka wada wafa nah hoga

Hyderabad: Riyasat Telangana ke mutadid talba khangi Universition jis mein Anurag University, Malla Reddy University aur Mahindra University shaamil hain un ke qiyam se kayi ek khadshaat mein mubtala hogaye hain. Talba ka maana hai yeh Universities Telangana hukoomat ke sab ko muft taleem dainay ke waday ke nazriya ko khatam kar dein gi aur aur aala taleem bhi ek tijarat ban kar reh jaye gi.

Is muamlay ke baray mein baat karte hue SFI ke Shares ke reyasti Secretary T Nagaraju ne kaha hai ke hukoomat ghareeb talba ko aala taleem ki hosla shikni karne ki koshish kar rahi hai. Khangi University mein jo Fees wusool ki jarahi hai woh bohat ziyada hai. Mere khayaal mein TRS ne apne intikhabi manshoor Mein kaha tha ke KG se PG tak har ek ko muft taleem miley gi. Mujhe yaqeen nahi hai ke khangi Universition ko qiyam lakar woh kaisay is waday par amal kere gi.

Unhoun ne mazeed kaha hai ke Telangana hukoomat ko khangi Universition par bohat ziyada tawajah dainay ki bajaye mukhtalif reyasti universition mein asatezaa aur Non Teaching ki 2 hazar maqloa jayidadon ko pur karna chahiye. Hum hukoomat se darkhwast karte hain ke woh reyasti universition par tawajah day aur wahan mazeed sahuliyaat tayyar kere. Reyasti hukoomat ne riyasat ke ghareeb talba ko taleem se daur kardiya hai. Inhen is ki parwah nahi hai ke ghareebon ke liye be rozgari aur taleem ke mawaqay kam ho rahay hain.

NSUI ke General Secretary Sohailuddin ke mutabiq Telangana hukoomat ki taraf se Scholarship haasil karne walay talba ko pichlle 1 saal mein koi sahoolat nahi mili. Mutadid talba pichlle kayi saloon se vajbat ki adaigi ke muntazir hain. Is corona bohraan mein college intizamia talba ko Fees ki adaigi par zor day rahay hain aur 2019-20 mein kisi bhi taalib ilm ko bator Scholarship ek rupiya nahi mila.