Monday, May 12, 2025
HomeHyderabadDouble Bedroom makanaat ki taamer ke 111 maqamat ki fehrist jari

Double Bedroom makanaat ki taamer ke 111 maqamat ki fehrist jari

Hyderabad: Congress ke khilaaf apni tanqeed jari rakhtay hue reyasti wazeer Talsani Srinivas Yadav ne Greater Hyderabad ke ilaqon mein 111 maqamat ki fehrist jari ki jahan reyasti hukoomat ne ghareebon ke liye 1 lakh Double Bedroom makanaat ki taamer ka kaam shuru kiya hai. unhoun ne Congress rehnumao ko challenge kiya hai ke woh tamam maqamat ka dora karen aur reyasti hukoomat ke khilaaf koi aur ilzaam laganay se pehlay khud se jari kamon ka muaina karen.

Yahan Assembly ihatay mein media numaindon se guftagu karte hue wazeer ne kaha ke Greater Hyderabad mein ghareebon ke liye 1 lakh Double Bedroom makanaat mukhtas karne ke apne waday se reyasti hukoomat ka peechay hatnay ka koi sawal nahi hai. Unhoun ne is baat ka iada kiya ke hukoomat shehar mein zameen ki adam dasteyabi ki wajah se Greater Hyderabad ke baher kuch Housing mansoobay taamer kar rahi hai. Unhoun ne kaha reyasti hukoomat ahal afraad ko un ki apni zameen par makanaat taamer karne ke liye zaroori maali madad faraham kere gi.

Srinivas Yadav ne kaha hai ke mutahidda Andhra Pradesh mein Congress hukoomat samait deegar hukoomaton ne bhi shehrion ke liye shehar ki baher mansoobay shuru kiye thay jis ki wajah shehar mein arazyat ki adam dasteyabi thi. Unhoun ne kaha ke 2007-2014 ke douran Javaharlal Nehru qaumi shehri tajdeed Mission ke tehat 91 maqamat par taqreeban 45951 makanaat taamer kiye gaye thay jin mein Congress hukoomat ne GHMC ki hudood se baher taqreeban 33558 makanaat taamer kiye thay.

Double Bedroom makanaat

Unhoun ne mazeed kaha ke agar Congress Leaders hamein shehar mein zameen ki nishandahi karen to hum un mansoobon ko shehar mein hi paye takmeel ko pohanchanay ke liye tayyar hain. Unhoun ne kaha ke tamam maqamat jahan Housing mansoobay lagaye gaye hain woh Crores rupay maliyat ki bunyadi araazi hain. Greater Hyderabad se mustafeed honay walon ko 90 feesad unit diye jayen ge aur baqiya 10 feesad unit muqami musthaqin ko mukhtas kiye jayen ge. Reyasti hukoomat ki taraf se jald hi zaroori rehnuma khutoot jari kardiye jayen ge.

Srinivas Yadav ne Congress Floor ke rehnuma Mallu Bhatti Vikramarka ke ilzamaat ko mustard karte hue kaha ke woh apne waday se nahi bhage hain. Doosri janib congress ke rehnuma apne siyasi mafadaat ke liye is maslay ko rozana ke serial ki terhan badhana chahtay hain lekin mein apna waqt zaya karne ke liye tayyar nahi hon is liye un 111 maqamat ki fehrist apne paas se un mansoobon ki pishraft ki tasdeeq karne ke liye CLP rehnuma ko bhaij raha hon.

Double Bedroom makanaat ki taamer mukammal karne mein takheer par wazeer ne kaha ke Chief Minister K Chandrashikhar Rao ne Assembly mein pehlay hi elaan kiya tha ke yeh ek mustaqil amal hai. Covid-19 wabai amraaz ne jari tamirati kamon ko kisi had tak mutasir kiya hai. 111 maqamat mein se hum ne pehlay hi 5 maqamat par 632 makanaat ko mukammal kiya hai aur ab woh musthaqin ke hawalay kardiye hain.