Wednesday, May 1, 2024
HomeSliderSatta baazi mein muawnat, Paytm ko Google Play Store se hata deya...

Satta baazi mein muawnat, Paytm ko Google Play Store se hata deya gaya

Hyderabad: Google ne kaha hai ke is ne khail ki shart laganay ki sar garmion ( Betting ) se mutaliq apni policy ki khilaaf warzi par Paytm App ko Play Store se hata diya hai. Paytm ab download ke liye dastyab nahi hoga lekin is App ke mojooda sarfeen par is ka koi assar nahi pade ga. Google ne ek E-mail ke jawab mein kaha Paytm App ko khail ki policion ki khilaaf warzi ke liye masdood kardiya gaya tha. Hamari policy ki wazahat IPL Tournament se qabal jari ki gayi thi. Google ne yeh bhi kaha ke sirf Play Store par App ki dasteyabi par assar padta hai aur sarfeen par un ka koi assar nahi hota.

Doosri janib Tweet mein Paytm ne kaha ke Paytm Android App Google ke Play Store par earzi tor par dastyab nahi hai taakay woh naye down load ya up dates ke liye dastyab hon. Yeh bohat jald wapas aajay ga. Aap ke saaray paisay mukammal tor par mehfooz hain aur aap mamool ke mutabiq apne Paytm App se lutaf andoz ho saktay hain.

Paytm digital lain deen ke liye ek mashhoor App hai. Ek Blog mein Google ne kaha hai ke woh khelon ki shart laganay walay Apps ko ijazat nahi deta hai aur aisi Apps ko Google Play Store se hataye ga. Hum online juvve baazi ki ijazat nahi dete hain ya juvve baazi ke kisi bhi Apps ki himayat nahi karte hain jo khelon mein satta baazi ki sahoolat faraham karte hain. Is mein yeh shaamil hai ke agar koi app sarfeen ko kisi bairooni Website ki taraf le jati hai jis ki wajah se woh asli raqam ya naqad inaam jeetnay ke liye Tournament mein hissa lainay ki ijazat deta hai to yeh hamari Policy ki khilaaf warzi hai.

Blog post ke mutabiq yeh policies sarfeen ko mumkina nuqsaan se bachanay ke liye mojood hain. Jabkay IPL jaisay baday Tournament ke muqablon se pehlay is terhan ke Apps ke aaghaz mein aksar izafah hota hai.

Google ne mazeed kaha hai ke woh khail mein shart laganay mein sahoolat faraham karne ki ijazat nahi deta hai aur aisi Apps ko Google Play Store se hatadena jata hai. Yaad rahay ke Indian Premier League ( IPL ) ka 13 wen Season Mutahidda Arab Emarat mein 19 September se shuru ho raha hai jis ke sath hi takhreeb karon ki janib se satta baazi aur deegar ghair qanooni masrofiyat mein izafah hota hai.