Sunday, April 20, 2025
HomeHyderabadUrdu University mein Hindi hafta ki sar garmion ka aaghaz

Urdu University mein Hindi hafta ki sar garmion ka aaghaz

Hyderabad: Professor Siddiqui Mohammad Mahmood, Registrar incharge Maulana Azad National Urdu University ney 14 September ko poster jari karte hue Hindi hafta ki sar garmion ka iftitah anjaam diya. Urdu University mein Hindi haftay ke douran jo 18 September taq jari rahay ga, Sarkari zabaan ke farogh ke liye mukhtalif sargarmia anjaam di jayen gi. University mein sarkari zabaan nifaz committee ki sadar nasheen Professor Saneem Fatima ney bataya ke is hafta taweel taqreeb ke tehat university ke asatezha, Afsaraan aur mulazimeen ke liye online lectures aur official language quiz ka ineqad kiya jaye ga. Hindi hafta ke tehat Hindi ( sarkari zabaan ) ko farogh dainay ke liye University Campus mein khusoosi poster, Banners lagaye gaye hain Professor S.M Rehmatullah, Vice Chancellor incharge neh Hindi hafta ki mubarakbaad pesh ki. Dr. Shagufata Parveen, Hindi officer, MANUU un sar garmion ke ineqad mein taal mil faraham kar rahi hain aur intizamaa ki nigrani kar rahi hain.

MANUU ITI mein dakhilon ke liye 21 September ko Consoling
September se Maulana Azad National Urdu University, Industrial Training Institute ( ITI ) Hyderabad mein dakhilon ke liye 21 September ko Consoling munaqqid ki jarahi hai. Dr Arshiya Azam, Principal ITI ke bamujab Consoling ka subah 9 bajay ITI, MANUU Campus, Gachibowli mein aaghaz hoga. Mazeed tafseelaat University Website http://manuu.edu.in se haasil ki ja sakti hain.