Hyderabad: Maulana Azad National Urdu University, ( MANUU ) Janab Rizwan Ahmed Director International Media Center ( IMC ) ku Aqwam Mutahidda ke aalmi saqafati idaray UNESCO ki bawaqar bain ul aqwami Council baraye Film, Television aur Audiovisual communication ( ICFT ), Paris ka rukan naamzad kiya gaya hai. Woh IMC ki numaindagi karen ge. International Media Center ( IMC ) ki karkardagi ko qaumi aur bain ul aqwami satah par baday pemanay par paziirai haasil horahee hai. University aur Media Center ki kamyabion ek aur numaya izafah huwa hai.
CICT / ICFT ke sadar, Safeer Inoussa Ousseini nay apne payam mein janab Rizwan Ahmed ko mubarakbaad pesh ki aur mustaqbil mein idaray ke liye un ki behtar karkardagi ki umeed zahir ki. Bain ul aqwami council baraye film, Television aur Audiovisual communication ( ICFT ) Film, Television aur naye media se mutaliq mamlaat mein UNESCO ki mushawarti council hai. ICFT France ke shehar Paris mein UNESCO ke head quarter mein waqay hai.
Is namzadgi par janab Rizwan Ahmed nay apni musarrat ka izhaar kiya aur ICFT se IMC ki wabastagi par executive Bureau aur safer Inoussa Ousseini, aur degar se izhaar-e tashakkur kiya. Janab Rizwan Ahmed nay markaz ki sar garmion ki mustaqil sarparasti par MANUU ke Vice chancellor incharge professor SM Rehmatullah aur Registrar incharge professor Siddiqui Mohammad Mahmood ka shukriya ada kiya.
Rizwan Ahmed nay kaha ke is rukniat ke husool ke baad Urdu university aur IMC ko aalmi satah par UNESCO ke sath kaam karne ka mauqa miley ga. Pehlay hi IMC ke MANUU knowledge series, Meet The Media Volunteers waghera jaisay Programs nay qaumi aur bain ul aqwami satah par maqboliat haasil ki hai. Urdu awam ki dehleez taq taleem pohanchanay ke liye University ke dairakar ke ain mutabiq IMC musalsal koshan raha hai. Janab Rizwan Ahmed ki bawaqar rukniat par MANUU ke hukkaam Asatezaa aur ghair tedrisi amlah nay mubarakbaad pesh ki.