Saturday, July 5, 2025
HomeJurmParking fee ki vasuli par Rainbow Hospitals ke khilaaf muqadma darj

Parking fee ki vasuli par Rainbow Hospitals ke khilaaf muqadma darj

GO par Sarahat ke bawajood ke muft parking ka itlaaq stand-alone Theaters, Hospitals aur deegar Buisiness Establishments par hoga, Hospital ka intezamia parking fees wusool kar raha tha.

Rainbow Hospitals ke khilaaf parking fees qawaid ki khilaaf warzi par shikayat ke indraaj ke bawajood Adam karwai ke khilaaf shikayat kunindah ka ehtijaj. File photo

Hyderabad. Hyderabad Police ne Rainbow Hospitals ke baaray mein yeh pata chalne par ke Hospital anay walay mareezon aur un ke afraad khandan se parking fee wusool ki jarahi hai. shehar ke aik samaji jehed car ki janib se Hospital ke khilaaf Banjara Hills Police Station mein shikayat ke indraaj ke baad yeh karwai ki gayi hai. yaad rahay ke tijarati idaron ke amarat mein muft parking ki saholaten baham pohanchanay se mutaliq jari kardah sarkari ehkaam se mutaliq yeh Sarahat kar diye jane ke bawajood ke stand-alone Theaters, Hospitals aur deegar tijarati idaron par is ka itlaq hoga aur yeh ke Hospitals ki bills aur Out Patient Department ki receipts ki peshkashi par muft parking faraham ki jani chahiye, Hospitals ki janib se parking fees wusool ki jarahi thi. Banjara Hills Police Station mein Hospital ke khilaaf muqadma darj kya gaya hai. Hospital ki janib se two wheelers ke liye 20 rupay aur four wheelers ke liye 50 rupay parking fees wusool kar raha tha aur ghanta ki asaas par izafi raqam wusool kar raha tha. shehar ke deegar hospital jaisay comes, apolo, kir bhi parking fees wusool kar rahay hain. Hyderabad ke insidaad rishwat satani jahedkaar mister Vijaya gopal ne 11 July ko Rainbow Hospitals ke khilaaf Banjara Hills Police station mein shikayat darj karwai thi. Unhon ne kaha ke yeh deegar haspatalon ke liye bhi taizana hai jo GO se mutaliq Sarahat kar diye jane ke bawajood parking fees wusool kar rahe hain. jahekaar ka kehna hai ke Banjara Hills Police ne baday hi behas o takraar ke baad muqadma darj kya hai. Police ko shikayat ke indraaj ke baad muqadma darj karne aik hafta darkaar huwa. Unhon ne kaha kay awam ne twitter ke zareya Police ko is janib mutwajjah kya tha. qanoon greater Hyderabad municiple karporishn 1955 ki daf-aat ke tehat khilaaf warzi karne walon ke khilaaf tazeeri karwai ki ja sakti hai. yeh GO jis ka itlaaq 1st  April 2018 se ho raha hai, ibtidayi 30 mints ke liye muft parking ki sahoolat faraham karta hai, is ke baad bhi agar Sarif tijarti idaara se khridi ka saboot paish karta hai to is se parking fees wusool nahi ki jaye gi. GHMC ne 24 April ko yeh wazahat kardiya tha ke muft parking ke khawayed ka itlaq Stand-alone Theaters, Hospitals aur deegar tijarti idaron par bhi hoga. Is wazahat mein yeh bhi Sarahat kar di gayi thi ke Hospital bil ya Out Patient Department ki raseed paish karte hue muft parking ki sahoolat haasil ki ja sakti hai. Vijaya ne kaha ke parking fees ki vasuli par tijarti idaron ka vaqtan fouqtan muaina karne ka GHMC ku ikhtiyar haasil hai. Parking Fee Rules ki khilaaf warzi hota dekhnay walay bhi un se shikayat darj krwaskte hain, lekin shikayaat ki yaksoi ka nizaam ghair karkard hai. Is liye awam ke liye yeh behtar hai ke agar woh dekhen ke tijarti idaron ki janib se parking fees qawaid ki khilaaf warzi ki jarahi hai to woh muqami Police station se rujoo hon.