Sunday, April 20, 2025
HomeSliderMessi ne Barcelona se alehadgi ka faisla karliya

Messi ne Barcelona se alehadgi ka faisla karliya

Barcelona: Aalmi shohrat yafta Barcelona ke Star Footballer Lionel Messi ne apni team se 16 salah talluq khatam karne ka faisla karliya hai. It-tila-aat ke mutabiq aalmi football ke mashhoor khiladi Lionel Messi is mausam garma mein Barcelona se rawaangi ki khwahish rakhtay hain. ESPN ke mutabiq, Club ne is baat ki tasdeeq ki ke inhen Messi ke zareya burofax mousool huwa hai jis mein unhoun apne faislay se aagah kiya gaya.

Messi nay wo tareeqa ikhtiyar kiya hai jo Spain mein aam tor par ek aisi zaroori dastaweez bhejnay ke liye istemaal kiya jata hai jis ke liye teesray fareeq ko saboot ki zaroorat hoti hai. Is khabar ke manzar aam par aate hi Messi ke madahon nay Camp Nou maidan ke baher jama hue aur apne pasandeeda khiladi ke haq mein apni mojoodgi ka ehsas dilanay lagey. Ye badi khabar Barcelona ki Bayern Munich ke khilaaf zillat aamaiz shikast ke gayarah din baad aayi hai kyunkay Champions league ke quarter final mein Barcelona ko hareef ke khilaaf 2-8 ki shikast bardasht karni padi.

Is shikast ny nah sirf khiladi ke career balkay club ki tareekh mein bhi ek bad tareen shikast hai. Bayern  ke khilaaf tazleel ke baad, Aisi khabrain phailna shuru hogayin ke Messi ka Barcelona ko chodney ke baray mein soch rahay hain, Is haqeeqat ke bawajood ke un ka moahida club ke sath abhi khatam nahi huwa hai. 33 sala Footballer Messi ka 2021 taq club ke sath moahida hai lekin is pichlle chand mahino mein camp Campus aur Ground par honay walay waqeat se wo mayoos they.

Messi ke is faislay ke baray mein bazabta elaan abhi Barcelona ne nahi kiya hai lekin bayanaat se ye maloom hota hai ke Messi ke qanooni musheer pehlay hi club ki intizamia ko ek pegham fax kar chuke hain. Messio ab kis team ka hissa hon ge ye behas bhi zor pakadney lagi hai lekin sirf chand hi teams is khiladi ki muthammil hosakti hain aur Champion league ke Finalist Paris senate Germaine un teams mein se ek hain aur ye Messi ki agli manzil hosakti hai. Ye bhi qiyaas kiya ja raha hai ke Manchester City bhi wo club ho sakta hai jahan Messi Action mein nazar ayen ge.