Hyderabad mein Masjid Clinic mein tabdeel ilaqay Rajendarnagar mandal mein ek muqami Masjid ki pehli manzil par Wadi al Mahmood Community Health Center khoola gaya, Jahan tamam mazhab ke logon khawateen aur bachon ki sahet ka ilaaj muft hota hai. Wadi al Mahmood Community Health Center Masjid Mohammad Mustafa mein, America ke ek Helping Hand Foundation ke taawun se qaim kiya gaya. Khawateen aur Bachon ki sahet ke liye qaim shuda’ women and child center’ mein ek She Team hogi jis mein senior general Physician, Aur bachon ke maahir doctors ke ilawa Dental surgeon, Dietician, Nursing, Counselor aur Front Desk support amla maojood hai. Jo benaa mazhab-o-millat ke apni khidmaat anjaam day rahay hain. Masjid mein qaim shuda clinic center bunyadi sahet ki dekh bhaal faraham kere ga, Jis mein khawateen aur bachay mausam ki tabdeel honay par bemaar ho jana, Prophecy, Zakham ki Dressing waghera jaisi saholaten faraham kere ga.
Zichgi ke douran kamzor tabqo se talluq rakhnay wali haamla khawateen Tefa Scan muft faraham kiya jaye ga. Maahir tarbiyat yafta musheeron ki nigrani mein Clinic ko anay walay tamam mareezon ka test bhi kiya jaye ga. Health Center main thermal screen aur Oxygen level jaanay ke liye jadeed aala bhi mojood hai. Khawateen aur bachon mein rote canal ka ilaaj karne ke liye jadeed tareen khususiyaat wali ek dental kursi bhi is health center mein lagai gayi. Therapist ke ilawa, Khawateen mein NCDS, Zachgi ke baad ke arsay ke douran khoon ki kami aur bachon mein ghizaiyat ki jaanch padtaal ke liye ahteyati sehat par tawajah di jaye gi.
Health Center mein mojooda Councilor aur ghizai mahireen Blood Pressure Sugar aur jumla amraaz ki jaanch padtaal ke liye WHO ki tajweez kardah Template ka istemaal karen ge. Jin afraad ko un ke wazan mein kami ki shikayat, Ghiza aur jismani werzish, Ke sath NCD ki Diabetes, High Blood Pressure, Motapa, Thyroid problems ke masail aur deegar daimi sahet se mutaliq umoor ki jald tashkhis aur ilaaj ke liye bhi mushawarat ki jaye gi. Health Community Center mein bachon ko munasib waqt par polio ke qatray pilaye jayen ge aur jin khawateen khoon ki kami ka shikaar hai un khawateen ko Iron Supplement faraham ki jayen ge aur ghair fa-aal ghizaiyat se mutaliq bachon ko vitamin ke sath diya jaye ga.
Helping Hand Foundation ke mumbar Mujtaba Hussan Askari ney mazeed bataya ke ” mojooda wabai marz mein beshtar khawateen aur bachon ki sahet ke mamlaat ko nazar andaz kiya ja raha hai. Neez is se bachao ki sahet par koi tavajja nahi di ja rahi hai, Unhoun ney mazeed kaha ke hamara bunyadi maqsad ensaan ki jaan aur un ki sahet ka khayaal rakhna hai, Aur yahan har mazhab ke maan-ne walay ka khair muqaddam hain.
Women and Child Clinic Center mukammal tor par corona protocol ke mutabiq Doctors ke liye khusoosi cabin ke sath mutabiqat rakhta hai, Jis mein plastic ke parday, Front Desk ke amlay ki hifazat ke liye sheeshay wali table aur clinic anay walay logon ke liye Pedestal mounted sanitizer stand awaami khidmaat ke liye mojood hai. Masjid ki zaireen manzil par waqay clinic ki poori jagah aur Clinic anay walay mareezon ke liye intezaar gaah bhi banaya gaya hai.