Hong Kong: Hong Kong ki University ke mohaqiqeen ne kaha hai ke corona se sehat yab honay wala ek shehri sadhay chaar mah baad dobarah Virus ka shikaar hogaya jo is noiyat ka pehla waqea hai. Khabar Agency ‘ Reuters ‘ ke mutabiq tehqeeq se is baat ke isharay miley hain ke duniya bhar mein 8 lakh afraad ki jaan lainay walay virus se bharpoor qouvat mudafat rakhnay walay afraad bhi mutasir ho saktay hain.
Hong Kong mein 33 sala shehri ko April mein Covid-19 se sehat yab qarar day kar dawakhana se wapas bhaij diya gaya tha, Lekin un ka 15 August ko Spain se barasta Bartania wapsi par dobarah test misbet agaya hai. Tibbi jareeday Clinical Infection Diseases mein ashaat ke liye manzoor honay walay tehqeeqi perchy mein kaha gaya hai ke mareez is se qabal sehat mand they. Unhoun ney kaha hai ke wo pehli martaba shikaar honay walay mukhtalif virus ke aqsam mein se ek se mutasir they aur doosri martaba mutasir honay ke liye badastoor alamaat mojood rahen.
Tehqeeqi maqalay ki tayari mein shaamil ek senior muhaqiq Dr Kwok-Yung Yuen ne kaha ke un nataij ka matlab ye nahi hai ke vaccine be faida hai. Unhoun ny kaha ke vaccine se haasil honay wali qowat mudafat qudrati mudafat se mukhtalif hosakti hai, Is ke liye hamein vaccine ke nataij ke liye intezaar karna pade ga ke vaccine kis qader muasar hai. Aalmi idaara sehat ( WHO ) ki maahir wabai amraaz Maria van Kerkhove ny kaha hai ke Hong Kong ke taaza maamla par foran kisi nateejay par pounchanay ki zaroorat nahi hai.
Report ke mutabiq is se qabal China mein bhi corona se sehat yab hokar dawakhanon se Discharge honay walay kayi afraad dobarah mutasir hue they. Taham un mamlaat mein ye wazeh nahi tha ke aaya wo Hong Kong ke mareez ki terhan mukammal tor par sehat yab honay ke baad dobarah mutasir hue they ya phir un ke jism mein ibtidayi tor par mutasir karne wala virus mojood tha. China ke mahireen ke Group mein shaamil ek maahir wabai amraaz ne May mein Press Conference ke douran kaha tha ke China mein ibtidayi tor par dawakhanon se Discharge honay ke baad dobarah mutasir honay walay afraad ki tadaad 5 se 15 feesad hai.
Unhoun ne kaha tha ke is ki ek wajah ye thi ke mareezon ke pehphdon mein virus badastoor mojood tha lekin jism ke deegar hisson se haasil kardah namonon mein virus samnay nahi aaya tha. Doosri mumkina wajah test ki kam hasasit aur kamzor qowat mudafat hosakti hai, Jis ke nateejay mein mareez ka test misbet aaya. Bartania ke wellcome Sanger Institute ke Covid-19 Project ke maahir ne kaha ke ek muamlay ki bunyaad par koi hatmi nateeja akhaz karna bohat mushkil hai. Duniya bhar mein ab tak samnay walay mamlaat ki tadaad ko dekhte huve, Is terhan ka ek maamla samnay aana herani ki baat nahi yahan tak ke ye ghair mamooli waqea bhi kyun nah ho.