Monday, May 5, 2025
HomeSliderBeirut dhamakon mein 2 afraad ke khilaaf warrant jari

Beirut dhamakon mein 2 afraad ke khilaaf warrant jari

Beirut: Beirut dhamakon ki tehqiqaat karne walay Lebanon ke Judge ne mazeed 2 afraad ke Warrant giraftari jari kar diye. Media ne zaraye ke hawalay se kaha hai ke Judge Fadi Sawan ne dhmakon ki tehqiqaat ke silsilay mein do warrant giraftari jari kardiye. Lebanon ke sarkari News Agency NNA ke mutabiq custom Athority ke Director Hanna Fares aur jis godaam mein dhamakay hue is ke ek Contractor Nayla Al-Hajj ke warrant jari kar diye gaye hain. Khayaal rahay Beirut dhamakon mein 181 afraad halaak aur 6500 zakhmi hue they jab ke shehar ka bada hissa tabah hogaya tha.

Lebanon ki hukoomat nay  dhmakon ki tehqiqaat shuru kar di hai. Beshtar loog un tabah kun dhmakon ki wajah hukkaam ki ghaflat aur badunwani ko qarar day rahay hain. Abhi tak dhmakon ke silsilay mein tehqiqaat ka saamna karne walay 25 afraad mein se 6 ke warrant giraftari jari kar diye gaye hain. Un mein Beirut bandargaah ke Director General Hassan Koraytem aur Custom ke director general Badri Daher shaamil hain.

labnani hakkaam naay bain al aqwami tehqiqaat ke mutalbe ko mustard kardiya hai taham jari tehqiqaat mein ghair mulki mahireen labnani hakkaam ki muawnat kar rahay hain jin mein Amrici f bi aayi ke ohdedar bhi shaamil hain. France jis ke kayi shehri un dhmakon mein maaray gay hain naay bhi allag se tehqiqaat shuru kar rakhi hai .