New Delhi: Muslim Student Federation ( MSF ) ki qaumi committee adalat se sakhti se mutalba karti hai ke wo Prashant Bhushan muamlay mein apne faislay par nazar sani kere. Is zimn mein Muslim Student Federation ke qaumi sadar TP Ashraf Ali ne apne jari kardah akhbaari aalamia mein kaha hai ke is wabaa ke douran lakhoon logon ke haqooq se mutaliq ahem muqadmaat mahino ke liye multawi kiye jarahay hain.
Justice Ranjan Gogoi aur Justice Krishna Murari ki bench ney Prashant Bhushan ke do Twits par az khud Notice liya hai aur inhen notice jari karte hue tauheen-e-adalat ki karwai shuru kar di hai aur Prashant Bhushan ke khilaaf saal 2009 mein zair samaat tauheen-e-adalat ka ek aur kis khoj liya jis ki samaat pehlay deegar benchon ke zariye ki gayi thi. Aisa mehsoos ho raha hai ke Supreme Court is muamlay mein Supreme Court ke qaim shuda tareeqakar ke khilaaf tareekh tey karne mein jald baazi kar raha hai.
Chief Justice of India (CJI ) ne ek BJP rehnuma ki 50 lakh rupiyon ki maliyat ki motorcycle baghair helmet aur Mask pehnay chalaye thi aur is par Prashant Bhushan muamlay ne jo tanqeed ki thi wo naik niyati se ki thi. Muslim Student Federation ke qaumi sadar TP Ashraf ne mazeed kaha hai ke hamein un muqadmaat ke khilaaf ehtijaj karne ki zaroorat hai. Mister Prashant Bhushan shehri haqooq ke ek mashhoor wakeel hain. Un ko mujrim qarar day kar Supreme Court ne khud apne waqar ko nuqsaan pohanchaya hai aur is se hamaray mulk mein inteshaar peda hoga.