Hussam al Sabhi dehshatgrdanh hamla mein apni dono aankhon se mahroom hogaye they .
Shaed aap ko yaad hoga ke aaj se do saal peshtar 29 ramdhan al mubarak ko Masjid Nabawi mein aik dehshat grdanh khud kash hamla huwa tha. Is hamla mein Emergency Services ka aik ahelkaar apne peshawarana faraiz anjaam dete hue apni beenaye kho baitha, androon aur beron Mulk taweel ilaaj ke baad aaj woh watan wapas to agaya hai magar Rouza e Rasool salle Allahau aleh wasallam ki pehray daari par apni aankhon ki beenaye ke khojane ke baais hamesha ke liye mahroom hochuka hai. Saudi Arab ka yeh bahadur siphai ‘Hussam al Sabhi al Harbi’ hai. Masjid Nabawi mein khud kash hamla ke nateeja mean zakhmi honay ke baad inhen alryaz ke aik hospital muntaqil kya gaya aur wahan se Spain le jaya gaya. Ab un ke zakhamo ka ilaaj hochuka hai magar beenaye ki Nemat se woh mahroom hogaye. Agarche is Nemat ki mehroomi nay inhen Rouza e Rasool salle Allahu alehi wasallam ki pasbani ke Sharf se bhi mahroom kardiya hai magar is Nemat ki mehroomi bhi aik Nemat se kam nahi hai ke un ka naam un logon mein shaamil hogaya jinhon nay apni zindagion ki parwah kiye baghair Rouza e Rasool salle Allahu alehi wasallam ki pasbani karte rahay hain. ‘Al Arabia dot net’ nay Hussam al Sabhi al Harbi ke halaat wo khayalat par roshni daaltay hue bataya hai ke alhrbi ko darjah soum ka Shah abdalaziz award se bhi nawaza gaya .
Apne sath paish aeye alamnaak waqea ki rudaad bayan karte hue alhrbi nay bataya ke’ meri aankhon ki beenaye chalay jana koi barri baat nahi. mein nay –apne watan ke liye pesha warana zimma daari ki anjaam dahi mein beenaye khoyi hai aur yeh bhi mere liye kisi dosray security ahelkaar ki terhan baais Sharf hai. Masjid Nabawi mein emergency forces ke ahelkar Haram ki hifazat par maamoor they aur roz maraah ki bunyaad par apni duty ke auqaat mein tabdeeli bhi karte. hamari zimma daryon mein Masjid Nabawi ki hifazat ke sath wahan anay walay zaireen, Hajjaj wo Mutamareen ki har mumkin madad bhi shaamil thi. mujhe Masjid Nabawi ki hifazat par mamoor hue daidh saal guzar gaye they. do baras qabal 29 ramdhan ko hum apne apne makhsoos muqamat par security ki zimma dariyan anjaam day rahay they. mein Haram e Nabawi se chay meter daur tha. aftaari se chand minute qabal hum saat afraad aik jagah jama hue taakay Rouza iftaar kar saken. Abhi hum baithy hi they ke aik ajnabi shakhs hamaray qareeb aaya. is ki harkaat kaafi ajeeb wo gahrib theen aur woh dekhnay se hi mashkook lag raha tha. is ney aik bag utha rakha tha aur Haram ke barey mein pooch raha tha. Is ka yeh sawal ghair fitri tha. Jab hamein is ke barey mein mazeed shak guzra aur hum ney is ke khilaaf karwai ka socha hi tha ke is nay khud ko dhamaka se uda diya. Is ke nateeja mein mere chaar saathi mauqa par shaheed aur mein aur aik dosra saathi ahelkaar zakhmi hogaye. zakhmi honay wala dosra security ahelkaar kayi roz tak Coma mein raha. inhen Allah nay Shifa di aur ab woh tandrost hain’.
Al Harbi ney apne sath aeye waqea ke barey mein mazeed bataya ke jab mujhe hospital muntaqil kya gaya to is waqt mere jism par jagah jagah jalan ho rahi thi magar beenaye mein is waqt kho chuka tha. taweel ilaaj ke baad mein tandrost hogaya. phir mein nay shadi ki aur ab aik beti ‘Turuf’ ka baap hoon. Mere ilaaj ka dorania paanch mah par muheet raha. Zakhmi honay se qabal hamari mangni hochuki thi aur shadi ki tayyariyan ki ja rahi theen. Dehshat gardi ke alamnaak waqea nay meri baen aankh mukammal khatam kar di jab ke dayen aankh ka Adsa bhi nakara hogaya. yun mein beenaye ki Nemat se mukammal tour par mahroom hochuka hon’ .
aik sawal ke jawab mein Hussam alhrbi nay bataya ke jab mein ilaaj ke baad watan wapas lota to awam ke aik jam e gafeer ne mera istaqbaal kya. Mujhe fakhr hai ke mein apne watan aur haram Nabawi ke difaa ke douran apni beenaye se mahroom huwa. mein nay apni Basarat watan ke liye qurbaan ki hai. Hamari hukoomat ney mere ilaaj mein koi kami nahi chodi aur androon wo bairoon Mulk ilaaj ke liye har mumkin taawun kya. Guzashta mangal ko mujhe Shah Abdul Aziz award se bhi nawaza gaya jo mere liye aik aur aizaz hai. hukoomat aur riyasat ki is be payaan tavajja ko hamaray heroes aur bahadur sipahi kabhi faramosh nahi kar saktay