Monday, April 21, 2025
HomeSliderSaudi mein khangi schools ke Principal ko bar taraf ka faisla

Saudi mein khangi schools ke Principal ko bar taraf ka faisla

Riyadh: Saudi wizarat taleem ne mumlikat bhar mein khangi Schools aur International Schools ke tamam Principal ko bartarf karne ka faisla kiya hai. Is faislay par amal 11 August 2020 se hi hochuka hai. Website ke mutabiq naib wazeer taleem Dr Abdul Rehman Al Asmi ne mumlikat bhar mein taleemi idaron ko faislay par amal karwane ke liye khat likha hai jis mein kaha gaya hai ke tamam khangi aur International Schools ke Principal chahay wo mard hon ya khawateen 11 August 2020 se subukdosh kardiye jayen.

Saudi Arab mein wizarat taleem ne ek circular jari kiya hai jis mein tamam niji aur bain ul aqwami schools ke intizam ko fori tor par tarkin watan Principal aur HMS ko barkhast karne ki hidayat ki gayi hai. Is faislay par amal daraamad 11 August 2020 se hoga.

Ye faisla Nursery, Primary, Middle, Sanwi sameit taleem ke tamam marhalon ke liye muqarrar Principal aur HMS par laago hoga. Taleemi idaron se kaha gaya hai ke is hidayat se tamam Investors ko mutala kardiya jaye. Saudi wizarat taleem ne hidaayat jari ki hai ke khangi school apne Principal aur HMS ahal saudion ko tainaat karen.

School Managment se darkhwast hai ke wo school ke maalik ko naye faislay se aagah Karen.