Wednesday, May 7, 2025
HomeHyderabadCovid19 ne Fashion aur Parcha jaat ki sanat ko mutasir kiya

Covid19 ne Fashion aur Parcha jaat ki sanat ko mutasir kiya

Hyderabad: Covid19 waba pareshan kun lamhaat Telangana ke dar-ul-hukoomat Hyderabad ke beshtar tijarti idaron mein lockdown ke arsa ke baad dekhe jarahay hain. Un dukanat mein jahan qabal azeen kaafi tijarti sargarmia huva karti theen, Ab iztiraab amaiz khamoshi chhai hui hai. Covid19 waba Hyderabad ke parcha jaat ki dukanat, Fashion Store aur kapdon ki dukanat par corona ka kaafi asr huwa hai. Kayi Store, Dukanat Malls jo gahkon se pur rehtay they ab sun_saan nazar arhay hain.

Un dukanaat ke malqeen paicheeda sorat-e-haal ka saamna kar rahay hain kyunkay gahak bhaadi Offers ke bawajood kharidari mein koi dilchaspi ka izhaar nahi kar rahay hain. Aisi hi ek sarkardah dukaan ke maalik ne kaha ”ham is waba ke douran mushkil tareen lamhaat ka samna karra he hain. Hum ny kaarobar mein kami dekhi hai aur is arsa ke douran kayi mushkilaat ka hum ko saamna karna padraha hai. Kaarobar taqreeban 70 taa 80 feesad kam hogaya hai, Halaank hum dukanat anay walay gahkon ke liye har terhan ke ahteyati tadabeer jaisay Sanitize,Jismani doori waghera ka ihtimaam kar rahay hain taham is ke bawajood kaarobar par kaafi asar pada hai.

Ek sawal ke jawab mein unhoun ny umeed zahir ki ke mustaqbil qareeb mein kharidari ka ahya hoga. Sorat-e-haal is qader kharab hai ke sirf chand dukanaat hi dukanat par nazar arhay hain. Food Courts, Mobile Store aur Beauty Brands ki dukanat par bhi koi gahak nazar nahi arhay hain. Un Store par 10 taa 20 feesad hi kaarobar ho raha hai. Dukanat ke malqeen ne tawaqqa zahir ki ke is waba ke khtama ke baad un ke kaarobar mein izafah hoga.