Tuesday, May 6, 2025
HomeExclusiveRam Mandir ki sang bunyaad ki tareekh muqarrar karkay mulk ke Secularism,...

Ram Mandir ki sang bunyaad ki tareekh muqarrar karkay mulk ke Secularism, Jamhoriat aur dastoor ko dafan kiya ja raha hai. Abdul Hannan

Bangalore: Social Democratic Party of India ( SDPI ) Karnataka shakha ke reyasti general secretary Abdul Hannan ne apne jari kardah akhbaari aalamia mein kaha hai ke 5 August 2020 ko Ram Mandir ki sang bunyaad ki tareekh muqarrar karkay isi bunyaad main mulk ke Secularism, Jamhoriat aur dastoor ko dafan kardiya jaye ga. Lekin ab benaa jhijhak kaha ja sakta hai ke jamhoriat sirf kaghaz mein hai aur haqeeqat mein jamhoriat ke pasdar musalman hain jo qanoon ka ehtram karte hain.

Is baat se koi inkaar nahi karsaktha hai ke adalat-e-uzma ka faisla hukoomat ke dabao me kiya gaya hai. Mustand-o-mooatbar tareekhi hawalon se saabit hai ke mughal badshah Mohammad Zaheeruddin Babar ke hukum se Ayud ke governor Mir Baqi neh weraan jagah par sun 1528 mein Achudiya mein Babri Masjid taamer karai thi. Babri Masjid fun taamer ki shahkaar thi. 3 baday gunbad aur 3 mein beej wala bada gunbad dhoop se bachanay ke liye ouncha banaya gaya tha. Hawa, Roshni ke liye khoob soorat jalyan bhi bani hui theen aur sehan mein kunwan bhi tha jis se pani nikaal kar wudu ke istemaal mein laya jata tha.

Babri Masjid mein saadhay 400 saal tak bala-naghah Azaan, Paanch waqt namazain aur jummay ki namazon ka ihtimaam hota tha. SDPI reyasti general secretary Abdul Hannan ney is baat ki taraf khusoosi nishandahi karte hue kaha hai ke Ram Mandir tehreek se hi BJP ko zabardast siyasi faida huwa hai. 2 sitoun par rehne wali Bajpa aaj markaz main aur mulk ki deegar reyaston mein aksariyat se kamyaab hokar hukoomat kar rahi hai. BJP ko Iqtidaar tak pohanchanay mein agar firqa parasti aur Hindu Muslim nafrat-o-tashadud ka amal dakhal hai to doosri taraf naam nihaad Secular partiyon ne bhi BJP hi ka taawun kiya hai. Mulayam Singh, Mayavati, Nitish Kumar aur janoobi hind ke Secular partyon ke rehnumao ne bhi BJP ki himayat ki aur firqa paraston ka sath diya. 6 December 1992 Babri Masjid masmaar karne ki tareekh rakh di gayi aur isi tareekh ko challenge karkay Babri Masjid masmaar kar di gayi.

Qanoon dastoor aur ayeen ko pamaal kiya gaya. Daidh lakh hindu atang wadiyon ny Babri Masjid ko zameen bose kardiya. Subah 9 bajay se laikar shaam tak datay rahay toad phod karte rahay lekin kisi ny aawaz tak nah uthai. Masjid todnay walon par laathi charge tak nahi hai. Bill akhir 500 sala tareekhi Babri Masjid 6 December 1992 ko shaheed kar di gayi. Jis ke baad mulk bhar mein khonriz fasadaat hue. Kharbon rupiye ke amlaak tabah-o-barbaad hogaye. Teen chaar hazaar insanon ka qatal huwa. Masjid toad kar hamaray mulk ki izzat ko pamaal kiya gaya aur Masjid ki jagah Mandir bananay ke liye dainay ke baad izzat ki pamali mein izafah hogaya. Dalail-o-shawahid aur kaghzat-o-dastawizaat musalmanoon ke haq mein honay ke bawajood 8 November 2019 ko adalat Alia se qanoon ke khilaaf ghair munsifana faisla sadir kardiya gaya. Hamaray mulk ki Supreme Court ne ye saabit kardiya hai ke jamhoori Hindostan mein mazhabi azaadi ka shoaar taaqat aur asbiyat hai. Babri Masjid ki baazyabi ke liye bohat se tanzeemon ne tehreek chalaye aur wo tamam threkeen nakaam hogai.

Babri Masjid Action Committee, Babri Masjid Rabita Committee, Babri Masjid Tahaffuz Committee waghera. Masjid ki baazyabi ke liye loog koshan they. Lekin adalti faislay ney sab ko mayoos kardiya aur Commission ka pata hi nahi chala ki kahan gayab hogyin. Hindu firqa paraston ki taraf se challenge karkay Babri Masjid din dahadhe shaheed kar di gayi thi aur challenge karkay banai bhi jarahi hai. Yaad rahay masjid ki jagah nah tabdeel ki ja sakti hai aur nah hi farokht ki ja sakti hai. Is baat se koi inkaar nahi karsaktha ke Babri Masjid taaqat ke bil par chean li gayi hai. Is baat se koi inkaar nahi karsaktha ke Babri Masjid taaqat ke bil par chean li gayi hai. Babri Masjid ki shahadat ke waqt Singh pariwaar ke sath khamosh rehne Secular partiyon ke munafiq leaders waqf ki zameen par mandir ki taamer ke liye ab khil kar samnay aarahay hain. Modi hukoomat har mahaaz par nakaam hai. Apni nakami chupaney ke liye aur hinduo ki tavajja apni taraf mabzol karanay ke liye corona waba ki mahamari mein ye sab drama kiya ja raha hai. BJP iqtidaar ke liye jhoot, Nafrat, Zulm aur tashadud ka rasta apna rahi hai.