Hyderabad: Hyderabad High Court ny Covid-19 ke ilaaj ke douran marnay walay shakhs ki laash ko hawalay karne ke liye Bill ki baqiya raqam ada karnay par asrar karne par ek private hospital par narazgi ka izhaar kiya. Marnay wala shakhs sabiq fouji tha. Adalat ne police ko hidayat di ke wo laash ki rishta daaron ko hawalgi ke liye iqdamaat kere. Sabiq fouji ke betay Naveen Kumar Sharma ki janib se daakhil kardah arzi ki samaat karte hue adalat ne markazi hukoomat ke sath sath reyasti mehakma sahet-o-tabaat ke Director ko mad-aaliyah banaya aur un ko hidayat di ke wo is maamla ki mukammal jaanch karte hue report daakhil kere ke aaya ye bill ziyada hai.
Adalat neh hidaayat di ke agar hospital ki janib se zayed Bill jari kiya gaya to is ke khilaaf karwai ki jaye. Naveen Kumar Sharma neh adalat se khawahish ki thi ke is maamla ki fori samaat ki jaye aur hukkaam ko hidaayat di jaye ke un ke waalid ki laash ko hawalay kiya jaye. Arzi guzar ke wakeel Pratap Narayan Sanghi neh kaha ke Ram Kumar Sharma ko is hospital mein guzashta mah ki 24 tareekh ko daakhil karwaya gaya tha taham hospital ke hukkaam neh un ke arakeen khandan ko bataya ke un ki mout hogayi hai.
Unhoun nay kaha kay 8 din hospital mein ilaaj ke liye 8.68 lakh rupiye ka Bill banaya gaya, Halaank 4 lakh rupiye ki raqam hospital ko day di gayi taham hospital ke hukkaam mukammal raqam ada karne ke liye israar kar rahay hain. Is par judge nay Ram Gopal Pet Police ko hidayat di ke wo fori tour par iqdamaat karte hue is baat ko yaqini banaye ke laash fori tour par rishta daaron ke hawalay kar di jaye taakay aakhri rasomaat anjaam di jasakay. Adalat nay is maamla ki aindah samaat 11 September multawi kar di.