Entrance asaas ke Courses ke liye 24 August aakhri tareekh. Merritt par 30 September tak dakhilay
Hyderabad: MANUU Maulana Azad National Urdu University nay Covid-19 waba ke pesh-e-nazar taleemi saal 2020-21 ke regular courses mein dakhilon ke liye naya Schedule jari kiya hai. Professor SM Rehmatullah, Registrar Incharge ke bamujab Enterance ki bunyaad par dakhilay ke courses mein online darkhwast ki tabdeel shuda aakhri tareekh 24 August 2020 hai, Jabkay Merritt par mabni courses mein dakhilay ki aakhri tareekh 30 September tak badha di gayi hai. Entrance test ke ineqad ke liye nazar sani shuda tareekh 19 aur 20 September ki hugi. Entrance test ke nataij ka elaan 30 September ko kiya jaye ga. Is se qabal, Entrance par mabni Courses ke liye online darkhwasten daakhil karne ki towsee shuda aakhri tareekh 10 July thi aur Merritt par mabni Course ki 10 August.
Professor M Vinaja, Director nizamat dakhila ke bamujab hindostan ki kuch reyastoun mein Covid-19 ki mojooda sorat e haal ke pesh-e-nazar ye towsee ki gayi hai. Isi douran University nay dakhilay ki baaz sharait mein zamimon ko manzoori di hai jin mein mukhtalif course mein dakhilon ke liye Urdu ehliyat ki nazarِ sani shuda asaas, MA tarjuma aur MA samaji aloom bajuz Social Work mein dakhilay ke liye manzoor dainee madaris ke programme aur MCA programme mein dakhilay ke liye AICTE ki masrah ahliti shart shaamil hain.Naye qawaid ki tafseel University Website par dastyab hai.
Online darkhwast form baraye Entrance par mabni courses jaisay B.Tech ( Computer Science ), M.Tech ( computer science ), MBA, MCA, B.Ed, M.Ed, DL.Ed, Polytechnic Diploma aur PhD programme un ke ilawa Merritt ki asaas ke courses mein dakhilay ke liye online darkhwast Website manuu.edu.in dastyab hai.