Monday, April 21, 2025
HomeTrending NewsHajj ke safar ka aaghaz

Hajj ke safar ka aaghaz

Riyadh: Corona ke aalmi bohraan ke douran Hajj ke safar ka aaghaz hogaya hai. Mecca Mukarmah se aazmin Hajj ke qaafley charshumbe ki subah saweray se Mina poanch gaye. Is saal fareeza Hajj ada karne waloun ka talluq 160 mulkon se hai un mein 70 feesad ghair mulki afraad hain.

Mina jahan har saal khaimon ka shehar abad hota hai is saal coronavirus ke baais mehdood Hajj ke baais ek hissa hi abad hoga. Saudi wizarat Hajj-o-umrah ne is saal fareeza Hajj ki saadat haasil karne walay muqeem ghair mulkion aur saudion ko Mucca Mukaramah ke Hotel se Mina muntaqil kiya hai.

Aazmeen Hajj budh 8 Zil-Haja ko Zoher , Asar, Maghrib aur Isha ki namazain ada karen ge aur jumerat 9 Zil Haja ko Fajar ki namaz ada karkay Hajj ka rukan azam waqoof ada karne ke liye maidan Arfat pohnchain ge. Aazmeen Hajj Mecca Mukaramah se Mina jatay hue taranah bandagi, Labaik Allahumma Labaik, Ki sadayen buland kar rahay thay. Aazmeen corona waba ke mahol mein Hajj ki saadat milnay par khush thay.

Yaad rahay ke is saal Hajj karne waloun ko 5 din Mecca Mukaramah ke ek hotel mein Quarantine kiya gaya tha taakay corona waba se mehfooz rahen. Aazmeen Hajj ka kaarwaan security force ke daston, Medical Teams, Mobile dawakhanon aur tamam mutaliqa idaron ke numainda ohdedaron ke hisaar mein Mecca se Mina muntaqil huwa. Hajj karne walon ki Buses 50 feesad gunjaish ke sath hi istemaal ki gayeen. Is saal Hajj par jany walon mein 70 feesad muqeem ghair mulki afraad hain. Ye dunyae Islam ke tamam ilaaqon ki numaindagi kar rahay hain.

Hindustan aur Pakistan ke muqeem ghair mulki bhi Hajj ki saadat haasil karne walon mein shaamil hain. Saudi Arab se 30 feesad aazmeen ka intikhab kiya gaya hai. Un mein 2 zumron ke shehri shaamil hain ek to wo hain jo coronavirus ke mareezon ka Front par ilaaj karte hue virus ka shikaar hogaye thay aur sehat yab ho chukay hain dosra zumra un saudion ka hai jo lockdown ke zamane mein mumlikat bhar mein sakht duty anjaam dete rahay.

Aazmin Hajj 8 aur 9 Zil Haja ki darmiyani raat Mina mein guzaraian ge phir 10,11 aur 12 Zil Haja aur un ki raatain Mina mein rahen ge. Sharai rukhsat par amal karne walay 12 Zil Haja ko Mina ko ’Alvidah’ keh den ge jabkay deegar 13 Zil Haja ki raat Mina hi mein busar karen ge.

Muqami media ke mutabiq Mina Arabi zabaan ka lafz hai. Arab aisi jagah ko jahan loog jama hotay hon Mina kehte hain kyunkay Hajjaj maqamat Hajj mein sab se ziyada qiyam yahin karte hain is tanazur mein usay Mina kaha jata hai. Mina tareekhi aur mazhabi maqam hai. Yahi wo jagah hai jahan Ibrahim Alehiasalam ne betay ki qurbani se roknay aur was wasay daalnay par shetan ko kankariyan maari theen. Yahin wo jagah waqay hai jahan Ibrahim Alehiasalam ne apne betay Ismael Alehiassalam ki jagah danbe ki qurbani di thi.

Mina, Mecca Mukaramah aur Muzdalifah ke darmain hudood Haram mein waqay hai. Ye Masjid Al Haram se shumal mashriq se 7 kilo meter ke faaslay par hai. Mina shumal aur junoob 2 jahton se pahodon mein mahsor hai. Ye bastii sirf Hajj ke ayyaam mein abad hoti hai. Mecca ki taraf se is ki sarhad Jamra Aqbah aur Muzdalifah ki janib se is ki sarhad waadi Al Mehsar mein waqay hai. Mina mein mutadid tareekhi maqamat paye jatay hain. Yahan Masjid Khaif hai aur Masjid Al Bia waqay hai. Mecca se Madina Munawwara hijrat se qabal Yasrab ( Medina ka qadeem naam ) ke bashindon ke sath tareekh saaz moahida isi jagah huwa tha.

Yahan 3 jumerat hain. Jinhein awaami zabaan mein shetan kaha jata hai. Yahan allamti pathran jaghon par banay hue hain jahan Ibrahim Alaihiassalam ko shetan nay dil dimagh mein was wasay daal kar betay ki qurbani se roknay ki koshish ki thi.

Doosri janib wazeer Hajj-o-Umrah Mohammad Saleh bin Taher Benten duniya bhar ke media ko ye bata chuke hain ke tamam koshisho ka mehwar Hajj karne aur karwanay waloun ki sehat-o-salamti hai. Hajj mein shaamil ghair mulkion ki Umrah 20 se 50 saal ke darmiyan hain. Inhen Mecca Mukaramah anay se qabal 7 din tak gharelo gosha nasheeni ka paband banaya gaya tha jabkay Mecca Mukaramah pounchanay par tamam Hajj karne aur karanay walon ka corona test bhi kiya gaya.