Saturday, May 10, 2025
HomeTrending NewsShadi mein shirkat, 20 afraad corona se mutasir

Shadi mein shirkat, 20 afraad corona se mutasir

Abu Dhabi: UAE ki riyasat Abu Dhabi mein shadi mein mehmanon ko shirkat mehngi par gai. 20 afraad corona mein mubtala hogaye. Media ke mutabiq Abu Dhabi public health center ne kaha hai ke shadi ki taqreeb mein shirkat aur samaji faaslay ki pabandi nah karne ki wajah se ek khandan aur un ke humsaayoun mein se 20 se ziyada afraad corona virus ka shikaar hogaye.

Abu Dhabi public health center ney ek video jari ki jis mein dekhaya gaya hai ke Abu Dhabi ka ek khandan tamam hifazati tadabeer ki pabandi kar raha tha. Intahi zaroorat ke tehat hi khandan ka koi fard hi intahi zaroorat ke tehat ghar se baher jata tha. Ek rishta daar ki mout waqay hogayi. Khandan ka ek fard taaziyat ke liye gaya jahan mutwafi ka bhai coronavirus mein mubtala tha lekin virus ki alamtain zahir nahi hui theen is se is ka milna jalna huwa.

Chand roz baad is khandan neh apni ek beti ki shadi taqreeb munaqqid ki. Mehdood pemanay par maheman madoo kiye gaye lekin sab se badi ghalti ye ki ke kisi neh bhi shadi ki taqreeb ke douran samaji faaslay ki pabandi nahi ki. Taqreeb ke 2 haftay baad khandan ke afraad aur un se milnay julne walay padosion mein corona ki alamtain namodaar honay lagen.

Emarati mehakma sahet ki tarjuman Dr Farida Hosni neh khabardaar kiya ke aisa lagta hai ke logoun ko ye gumaan hochla hai ke corona ki waba katam hogayi hai. Aisa nahi hai. Samaji faasla nah rakhnay aur mask nah pahannay ki soorat mein koi shakhs bhi kisi bhi waqt kahin bhi virus ki zad mein aasakta hai.

Tarjuman nay mazeed kaha ke sab loog un dinon aur anay walay ayyaam mein ziyada ahthyat barten. Mohtaat zindagi ko tarz hayaat banalen. Pabandi se mask ka istemaal karen. Sanitizing ka ihtimaam karen aur waba ko phelnay se roknay ke liye 2 meter ke faaslay ka khayaal rakhen.