Sunday, May 11, 2025
HomeTrending NewsHajjion ko garmi se bachanay ke liye intizamaa

Hajjion ko garmi se bachanay ke liye intizamaa

Riyadh: Saudi wizarat sahet ne Hajj ki tayariyaan mukammal karlen. Novel Coronavirus se nimatnay ke liye khusoosi intizamaa kiye gaye hain. Website ke mutabiq wizarat sahet ne Hajj maqamat par Hajjaj ko tibbi saholaten muhayya karne ke liye kayi sahet idaray tayyar kiye hain. Mena Al Wadi Hospital, Maidan Arfat mein Health Center 29, Field dawakhane aur mobile dawakhanoun ka intizam kiya gaya hai jabkay 6 Ambulance aur 3 Clinics hajjion ki rahaish par 24 ghantay muhayya hon gi.

Saudi wizarat sahet ne kaha hai ke hajjion ko sahet khidmaat faraham karne ke liye Doctors, Nurses aur muawin tibbi amlay ka taqarrur bhi kardiya gaya hai. Wizarat sahet ke mutabiq is saal Hajj sakht garmi mein ho raha hai. Dhoop ki shiddat aur chalne phirnay ke baais garmi se mutasireen ke liye khusoosi sahet khidmaat ka bandobast kiya gaya hai. Sakht darjah hararat se talluq rakhnay walay amraaz se nimatnay ke intizamaa bhi kiye gaye hain.

Wizarat sahet ne Mena, Arfat aur Muzdalifa mein loo se mutasirah hajjion ke ilaaj ke liye sahet idaroun mein zurori intizamaa karliye. Pani ki phwaar walay pankhay bhi nasb kiye gaye hain jin ki badolat darjah hararat ki shiddat kam ho jati hai. Dhoop se mutasireen ki tadaad mein farq padta hai aur shadeed garmi se be hosh honay ke waqeat mehdood ho jatay hain.

Darin Isna wizarat Hajj o Umrah ney kaha hai ke is saal hajjion ki khidmat par mamoor tamam ehalkaroun ka corona test hoga. Jis idaray ke bhi ahelkaar Hajj khidmaat ke liye tainaat hon ge un sab ka corona test liya jaye ga. Akhbar 24 ke mutabiq secretary Hajj Dr Hussain Al Sharif ney bataya ke aman aama ke sipahi hon ya Hajj dafatir ka intizami amlah ya barah e raast Hajjaj ki khidmat karne walay loog hon. Un sab ka corona test hoga. Har ek ke barey mein ye itminan haasil kiya jaye ga ke wo corona se poori terhan se pak hai ya nahi.

Dr Al Shrif ney ye bhi kaha hai ke hajion ko groups ki shakal mein Hajj maqamat par rawana kiya jaye ga. Un ke hamrah sahet amlah qaafley ka commander aur muawin bhi hoga. 4 Zee Al Hajj se un sab ko bhi Quarantine kiya jaye ga.