Riyadh: Riyadh ke King Faisal Specialist Hospital mein amraaz qalb ka markaz duniya bhar mein dil ki robot surgery karne walay 5 baday marakaz mein shaamil hogaya. Center ney 1 saal ke douran robot ke zariye dil ke 105 paicheeda tareen operation kiye hain.
Saudi khabar rasan idaray SPA ke mutabiq Americi company Da Vinci aur dil ke mushkil tareen operation mein Surgeons ko training dainay wali muawin company MIS nay apni Report mein King Faisal Specialist hospital ke matehat amraaz qalb ke markaz ko fehrist mein shaamil kiya hai.
King Faisal Specialist hospital ke matehat amraaz qalb markaz Feb 2019 se Feb 2020 ke douran America mein dil ke amraaz aur operation karne walay bain ul aqwami ahem marakaz ko peechay chod gaya.
Robot surgery ka nizaam bada munfarid hai. Robot mein camera se aarasta baazu nasb hai aur jarahati alaat walay machine baazu bhi is mein nasb hain. Surgeon robot ke baazuon ko control karta hai aur wo operation table ke qareeb computer se marboot screen ke samnay betha hota hai. Control unit surgeon ko dil ka har hissa 3 zawiyoun ke sath intahi shafaaf andaaz mein numaya karkay dekhata hai.
Amraaz o harajat qalb ke markaz ke Consultant Dr Farass Khalil ne kaha hai ke robot technology ke zariye dil ke operation ki wajah se badi sahoolat hogayi hai. 14 se 80 baras ki omar walay mareezoun ka operation aasani se hojata hai aur wo badi taizi se sehat yab ho jatay hain.
King Faisal Specialist hospital ke matehat amraaz o jarahat qalb ke markaz ne Feb 2019 se le kar Feb 2020 ke darmain 105 dil ke nihayat naazuk aur paicheeda operation karkay 98.2 feesad tak kamyabi haasil ki. Isi douran Americi companian duniya bhar ke maroof amraaz qalb ki karkardagi ki jaiza report tayyar kar rahi theen.