Friday, July 4, 2025
HomeTrending NewsNEOM mein duniya ka sab se bada Green Hydrogen Project

NEOM mein duniya ka sab se bada Green Hydrogen Project

Riyadh: Saudi Arab mein NEOM company Air Products aur ACWA Power ke ishtiraaq se mahol dost Hydrogen ki pedawar ke liye NEOM Zone mein aalmi darjay ka project qaim kere gi is par 5 Arab Dollar se ziyada laagat aaye gi. Mahol dost Hydrogen duniya bhar ko sarbarah kiya jaye ga. Is ki badolat International Transport ke shobay ka masla mustaqil bunyadoun par hal hojaye ga aur mousmi tabdeeli ke masail bhi khatam ho jaien ge.

Saudi khabar-rasan idaray SPA ke mutabiq NEOM Company ke Executive Chairman Engineer Nadhmi Al Nasr ney kaha hai ke is Project ki badolat Shah Salman Bin Abdalaziz aur Wali Ahad Mohammad Bin Salman ka khawab poora hoga.

Al Nasr ney kaha ke ye duniya bhar mein apni noiyat ka sab se bada project hoga. Is ke zariye Green Hydrogen aur Green feul ki pedawar mein Saudi Arab ko qaidana hesiyat haasil hojaye gi. Duniya bhar ke sarmayakar aur aala tareen zehan is project ki badolat NEOM ka rukh karen ge.

Sah friqi shiraakat Saudi Arab mein Carbon se paak tawanai, Maeeshat ki tayari mein kaleedi kirdaar aada kere gi, Ye vision 2030 ka ahem sutoon saabit hoga. Is ke baad isi jaisay bohat saaray deegar baday mansoobay NEOM mein shuru hon ge aur wo NEOM City ke mustaqbil ki tasweer bananay mein numaya kirdaar aada karen ge.

Air Products ke chairman  Seifi Ghasemi ne kaha ke is project mein shirkat par un ki company ko fakhar hai. Poori duniya ka khawab hai ke sad feesad Green tawanai haasil ho. Is mansoobay ki badolat poori duniya ka ye khawab sharminda tabeer ho jaye ga.

ACWA Power ke chairman Mohammad A. Abunayyan  ne kaha ke is program se Green Hydrogen ki tayari ke bohat saaray imkanaat roshan ho jayen ge. Yaad rahay ke tenu fariqain is project mein barabar ke shareek hon ge. Project ka head quarter NEOM hoga. 2025 mein Hydrogen ki tayari aur aalmi mandioun mein is ki bar aamad ka kaam shuru kardiya jaye ga. Yahan rozana 650 Ton Green Hydrogen tayyar hogi jabkay 1.2 million Ton Green NEOM ki salana pedawar hogi jis ki badolat Carbon Dioxide se niklne wali aloodgi par qaboo paaya ja sakay ga.