Monday, April 21, 2025
HomeSliderTelangana mein monsoon mamool se behtar, aaindah mah mein mazeed shandaar barish...

Telangana mein monsoon mamool se behtar, aaindah mah mein mazeed shandaar barish ki paish qiyaasi

Hyderabad: Riyasat ke kuch hissoun mein darmiyanay darjay se leker mosla dhaar barish honay ke sath hi mosmyati mahireen ne kaha hai ke ab tak monsoon mamool se behtar raha hai aur kuch hissoun mein mosla dhaar barish hui hai. TSDPS ke mutabiq 1 June se 19 June 2020 tak riyasat mein barish 131.2 mili meter record ki gayi hai jabkay mamool ke mutabiq barish ka record 82.7 mili meter hota hai jis mein ab 59 fisdazafh hua hai.

Riyasat Telangana mein 19 June tak honay wali barish mein 131.2 mili meter record hua jo June ke mahinay mein mamool ki barish 129.2 mili meter se tajawaz kar gayi hai.

Jummay ko riyasat ki ost barish 7.0 mili meter mamool ke muqaabla mein 9.7 milimeter ziyada hai. IMD ke director naga ratna ke mutabiq monsoon mamool ke qareeb hai aur Telangana mein achi pesh raft horahee hai. Majmoi tor par is season mein monsoon mamool se behtar hua hai aur aindah mahino mein is mein mazeed behtari ki umeed hai.

June aur September ke darmiyan tawaqqa kar rahay hain ke achi barish ka silsila badastoor jari rahayga. mahireen ne peish qiyaasi ki hai ke jab khaleej bangaal mein July ya august mein kuch tabdeeli paeda hojaye gayi to riyasat mein shadeed barish ki tawaqqa ki ja sakti hai. sky meet mausam ke Mahesh ne kaha ke Telangana mein barish ke baad azlaa yeh zahir kar rahay hain ke monsoon ab mamooli se kahin ziyada behtar hogaya hai.

Alawa azeen khaleej bangaal mein mousmi nizaam tashkeel paata hai to sahili aandhra pradesh aur Telangana mein barish mein izafah hota hai. July ke dosray haftay mein barish mein mazeed behtar ki umeed ki ja sakti hai aur Telangana mein poooray arsay mein achi barish hogi. –YTN STAFF