Hyderabad: Corona ke rozaana misbet maamloun mein izafah ke baad Telangana ki hukoomat ab GHMC ki hudood mein mukammal lockdown ke dobarah nafiz karne par ghhor kar rahi hai, Is baat par ghhor karte huve ke lockdown usooloun mein narmi ke baad se shehar aur is ke atraaf mai corona misbet mamlaat badh rahay hain. Sarkari zaraye ne kaha ke Chief Minister K Chandrashekhar Rao rawan haftay kisi bhi din se GHMC ke hudood mein lockdown nafiz karne ka elaan kar saktay hain ziyada imkaan hai ke 9 ya 10 June ku elaan husakta hai Chief Minister KCR ney corona sorat e haal ka jaiza lainay ke liye Pragati Bhavan mein ek ahem ijlaas talabb kiya hai. GHMC hudood mein corona sorat e haal kharab hogayi hai. Khaas tor par un Lock 1.0 ke baad yakam June se lockdown pabandioun ko badi had tak kam kardiya gaya hai. Yakam June se tamam dukanain, Tijarti idaray ( Shopping Malls, Theatre aur mazhabi maqamat ko chod kar ) riyasat bhar mein khole gaye they
yahan tak ke shopping Malls aur mazhabi maqamat peer se khul gaye hain agarchay is mein kuch pabandiyan ayed hain. Jabkay GHMC ki hudood mein March ke wast se 31 May tak lockdown ke doraniye mein 200 ke mamlaat report huve, Pichlle dinon ye mamlaat 300 ke adaad o shumaar ke gird mandala rahay hain. Yakam June ko hi GHMC ke hudood mein 122 mamlaat report huve, Is ke baad 2 June ko 79 aur 3 June ko 80 mamlaat report huve hain. GHMC ki hudood mein pichlle 3 din mein 100 se ziyada mamlaat dekhnay mein aeye.
Shehar mein sirf 4 June ko 108, 5 June ko 110 aur 6 June ko 116 waqeat report huve. Is se ye khadsha peda huwa hai ke anay walay dinoun mein shehar mein coronavirus be qaboo hojayege, Kyunkay peer se ziyada se ziyada shobay khul gaye hain. Agarchay reyasti hukoomat ne un lock 1.0 ke baad hifazati qawaid nafiz kardiye hain, Jaissa ke Mask pehnana, Jismani doori barqarar rakhna waghera.
Mehakma sahet ke ohdedaroun ney hukoomat ko mutnabba kiya hai ke agar ye sorat e haal barqarar rahi to is se GHMC ki hudood mein rozana corona mamlaat main sangeen hojaienge aur sorat e haal kisi bhi waqt qaboo mein nahi hogi. Dar haqiqat ohdedar Hyderabad mein Mumbai ki sorat e haal ki pesh qiyaasi kar rahe hain, Agar corona par qabo panay ke iqdamaat sakht nahi kiye gaye to matlooba nataij haasil nahi kar saktay hai. –YTN STAFF