Hyderabad: Telangana bhar mein SSC imtehanaat multawi honay ke baad dosray imtehanaat ke ineqad khusoosan universition ke Under Graduate aur Post Graduate imtehanaat par ghair yakeeni sorat e haal payi jati hai aur ab is mein izafah huwa hai kyunkay social media par musalsal mazkoorah imtehanaat ko multawi ya mansookh karne ka mutalba zor pakad raha hai.
Javaharlal Nehru Technology University Hyderabad ( JNTU ) jis ne mukhtalif programon ke liye semester imtehanaat ka schedule jari kiya hai, Ab SSC imtehanaat ke baray mein hukoomat ke mazeed faislay ki bunyaad par is ka jaiza le ga.
UG emtehanaat lainay ke liye ya sirf aakhri saal ke talba ke liye PG ke final semester emtehanat ke liye rastay talaash kar rahay hain. Osmania University ke ohdedar ke bamujab agar sorat e haal sazgaar nahi huvi to pehlay Semesters ke osatan majmoi grade point osat ( CGPA ) le kar PG final semester talba ke nataij ka elaan karne ke rasta ki talaash kar rahay hain. University UG ke talba ke liye laago nahi kiya ja sakta hai kyunkay ziyada tar talba Intermediate semester mein matlooba CGPA haasil karne mein nakaam rehtay hain. OU ke ek senior ayen
schedule ke mutabiq, JNTU ne 20 June se B.Tech aur MBA MCA talba ke liye semester ke emtehanat ka ineqad karne ka mansoobah banaya hai. JNTU ke ek senior ohdedar ne kaha ke hukoomat ke faislay ki bunyaad par hum emtehanat ka ek jaiza lenge. Hum ne SSC emtehanat ke baaray mein high court ke faislay ka bhi mutaleya kiya hai. Ab jab ke hukoomat ne riyasat bhar mein dasvin jamaat ke emthanat multawi kardiye hain to hum emtehanat se mutaliq hukoomat ke mazeed faislay ke anttar mein hain.
Agarchay Osmania University ne imthehaan ka schedule jari nahi kiya hai, Is ne COVID-19 misbet maamloun ki badhti huvi tadaad ke pesh e nazar June mein koi imtehanaat nah karne ka faisla kiya hai. University ke ohdedar tamam Under Graduate talba ke liye ek sath ya sirf Under Graduate Final Year ke talba ke liye imtehanaat ke ineqad sameit mukhtalif ikhtiyarat ki talaash kar rahay hain jis ke baad Post Graduate final Year ke talba ke liye Semester imtehanaat honge. –YTN STAFF