Riyadh: Saudi Arab ke farman rawa Shah Salman Bin Abdalaziz Al Saud ki hidayat par adliya ke shobay mein 53 khawateen tehqeeqi ohdedaroun ki taenati ka faisla kiya gaya hai. Tafseelaat ke mutabiq Saudi Arab ke public Prosecutor ki taraf se jari honay walay ek bayan mein kaha gaya hai ke khawateen ohdedar ko adliya ke mutadid muqadmaat ki tehqiqaat par mamoor kiya jayega. Bayan mein kaha gaya hai ke khawateen ki adliya ke shobay mein taenati ka maqsad mumlikat ke azeem ul shaan eslahati programme vision 2030 ke ahdaaf ka hissa aur khawateen ko ziyada ba ikhtiyar bananay ki koshisho ka tasalsul hai. Saudi Arab ke Prosecutor general ke tarjuman Dr Majid Al Dasimani ne kaha ki vision 2030 ke ahdaaf ke tehat Prosecution ke shobay mein 50 se zayd khawateen tainaat kiya gaya hai. Tarjuman ne kaha hai ke Saudi Arab ke Prosecution shobay ke zair e intizaam 156 mard-o-khawatin mulazimeen ki pesha waranah tarbiyat ka silsila jari hai. Jald hi inhen un ki ahem zimma daryoun par taynat kiya jayega. –YTN STAFF