Toofan ke baad keeday, Hazrat Moosa A.S ke zamane ka azaab Hindostan par: Professor Tanveer Khudanumayi ka tajziyati mutala
Hyderabad: Nai tareekh jab likhi jayegi to shayad insaaniyat ke liye 2020 ko sab se ziyada tabah kun aur khofnaak saal likha jayega kyunkay is ki ibteda jaha Australia mein jungle ki aag se huvi thi wahein January mein hi China mein coronavirus saari duniya ko mout ka nanga naach dekhnay ke liye apna baghal bach deya tha aur dekhte hi dekhte Hindostan bhi is aalmi waba ki zad mein aagaya.
Coronavirus jis neh Hindustani awam ke liye masail ka nah khatam hona wala ek silsila shuru kardiya to maghribi Bengal mein toufan aur Delhi mein zalzalay tabahi mein naye abwab ka izafah kiya. Un halaat mein Hindustani shayad ye soch rahay they ke ab is se bura kiya hoga lekin ek aur museebat un ka intezaar kar rahi thi jo kay Teddioun daloun ke hamloun neh halaat ko mazeed pareshan kun kardiya hai. Corona se Hindostan ki maeeshat bhi buri terhan mutasir ho rai hai aur zaraat ki achi pedawar se umeed ki jarahi hai ke ye hamari bagrhti maeeshat ko sahara day gi, Lekin is beech Ted Teddioun ke daloun ne Hindostan ki kayi reyastoun mein hamla bol diya hai jis se un reyastoun ki faslein barbaad hovi hain.
Reyasti hakoomaten is hamla se nimatnay ki har mumkin koshishen kar rahi hain aur wo keedoun ko maarny ke liye fazai chidkao ke silsila mein Drones ke liye Tenders bhi talabb kar rahi hai. Tiddi dal ke hamla se tarkari aur daaloun ki faslun ko nuqsaan ho raha hai. Ye tiddi dal pehlay padosi mulk Pakistan mein nuqsaan pohanchaya hai aur ye dal Hindostan mein wahein se aaya hai. Tiddi dal ka jhund Madhya Pradesh aur Rajasthan ki sarhad se mut-tasil Uttar Pradesh ke Jhansi mein dekha gaya. Jhansi ke district magistrate ne is ki tasdeeq ki hai ke ye Tediyan zila mein Rajasthan se aayi hain. Alawa azeen Telangana ki padosi riyasat Karnataka ke ilaqay Bidar mein bhi un hamloun ki ittila hai.
Ek janib jahan hakoomaten is pareshani ko hal karne mein masroof hain wahein Osmania University ke sabiq ustaad ne is tiddi dal hamloun ka nah sirf hal bataya hai balkay Telangana hukoomat ke sath aman o aman qaim karne wali tamam Agencies ki tavajja bhi is janib mabzol karwai hai. Osmania University ke shoba farsi ke sabiq Sadar Prof Dr Syed Mohammad Tanveer Uddin Khudanumayi ne jari kardah ek video mein tiddi dal ke hamloun ki tareekh, Is ki wajohaat aur is maslay ke hal par ek taweel Video jari kiya hai. Unhoun ne apne is Video main hukoomat ko kaha hai ke wo na siyasi leader hai aur nah hi un ke koi seyasati azaeem hain balkay wo behsiyat maher-e-taleem is tiddi dal hamloun ka hal batana chahtay hain.
Sabiq Professor ke bamujab tiddi dal hamla darasal Allah Tabarak Taala ka Azaab hai. Sahrayi Tediyan Pattay, Phool, Phal aur beejoun ke ilawa darakht tak chat kar jatay hain. 1 kelo meter ke raqbay mein 40 million Tediyan ho satke hain aur ek din mein 150 kelo meter tak ka faasla tey kar satke hain. Teddioun ka dal rozana 35 hazaar insanoun ki khoraak khatam kar sakta. Ye mehsoos kiya gaya hai ke un ki udaan nadiyoun ke kinare khaitoun ki janib ziyada hai aur wo khaitoun ko ziyada nuqsaan pouncha sakti hain.
Tiddi dal ke hamloun ki tareekh Moosa A.S se ehad mein paivest hai jis ka tazkara Quran hakeem mein mojood hai jo kay azaab ki ek shakal hai. Sabiq Professor apne video pegham mein kaha ke wo is ke zareya apni aawaz hukoomatoun aur un Agencies tak pehchana chahtay hain jo un hamloun se hifazat ke iqdamaat karne mein masroof hain. Telangana ke Chief Minister KCR, Police aur Intelligence ko unhoun ne mukhatib karkay kaha ke un ki aawaz ko mulk ke wazeer e azam Narendra Modi aur reyastoun ke Chief Ministers tak pohanchayen.
Khudanumayi ne kaha ke tiddi hamlay chunkay azaab hai lehaza usay duniya ki koi taaqat nahi rokk sakti, Jaisa ke hukoomat Drones se spray ki khwaahan hai lekin un hamloun ke agay ab tak koi Technology kamyaab nahi huvi hai. Khudanumayi ne Surah Al-Aaraf ki aayat number 137 Parah 9 ki telawat ki hai aur kaha ke jis mein Allah Taala farma raha hai ke hum ne un ( Moosa A.S) par tofaan aur tiddi bheja. Agar aaj ke halaat ka tajzia bhi is aayat ke tanazur mein karen to Bengal mein pehlay tofa noon aur ab tiddi daloun ka hamla wahi saf bandi hai jo maazi mein azaab ki shakal mein utaari gaye thi. Unhoun ne mazeed kaha ke Teddi ju fasloun kubarbad kar dete hai lekin is ke baad teesray marhalay mein zakheera kiye gaye anaaj ki baari hoti hai jisay keede kha jata hai.
Unhoun ney mazeed kaha ke jab corona ke khilaaf pehli martaba 22 March ko ek din ka lockdown ka elaan kiya gaya tha tab mein ney 7 Azanoo ka tazkara kiya tha. Unhoun ney mazeed kaha azaan wo hathyaar hai jo zalzala aur selaab jaisi afaat azaan se tal jati hain. Unhoun ney 2009 Karnool ke selaab ka hawala diya, Jahan museebat ko talnay mein azaan ney kulidi rule ada kiya tha.
Video pegham mein unhoun ne bohat se hawalay diye aur aakhir mein kaha ke selaab aajaye ya sunami aajay ek shaks bhi agar Azaan deta hai to aafat tal sakti hai. Unhoun ne tiddi ke Azaab ke khilaaf Azaan ke hathyaar ko istemaal karne ka mashwara diya aur kaha ke ek aadmi, 2 aadmi, 5 aadmi, 10 aadmi, Ghar mein, Rasta chalna wala koi bhi Azaan dena shuru karde ye aafat tal jaye gi. Unhoun ne mazeed kaha ke ab anay wala mausam barish ka hai jis mein azaab ziyada barish ya phir qeht saali ki shakal mein ho sakta hai. Agar barish ziyada ho to Azaan den aur agar barish nah ho to phir maidan aur kheitoun mein Azaan dainay ka mashwara diya. Alawa azeen unhoun ne rastay bhatakne, Sawari ke gum hojane, Dushmanoun mein kher jane aur aisay kayi masail ka hal Azaan ko qaraar diya hai. Unhoun ne kaha ke ek martaba, 3 martaba,1 din, 3 din aur 7 din Azaan dainay ka hidaayat di hai. –YTN STAFF