Sunday, April 20, 2025
HomeTelanganaUG aur PG ke imtehanaat 20 June se honge

UG aur PG ke imtehanaat 20 June se honge

Hyderabad: Under Graduate ( UG ) aur Post Graduate ( PG ) Course ke aakhri semester ke imtehanaat 20 June se honge. Is ke alawa UG aur PG ke Intermediate Semester ke talba ko taraqqi diye jayen, Chahay un ke backlogs hon.

Is ka faisla Telangana state council baraye Higher Education ( TSCHE ) ke zareya riyasat ki tamam universition ke Registers aur Controller ke sath UGC ki hidayat par tabadlah khayaal karne ke liye munaqidah ijlaas mein kiya gaya. University Grants Commission ( UGC ) ney imtehanaat aur taleemi calendar ke silsilay mein tamam Vice Chancellor ko hidayat nama jari karne ke baad Universition ko corona se peda honay wabai bemari se peda honay walay mushkil waqt ke mutabiq dhalne ke liye mazeed lachak di jarahi hai.

TSCEE Universition ko sirf UG aur PG Programs ke final semester talba ke liye imtehanaat karanay ki ijazat day gi, Jis mein backlogs bhi shaamil hai. Intermediate Semester ke talba ke liye imtehanaat ek baar college khole jany ke baad November Decemeber mein Semester ke ahem imtehanaat ke sath munaqqid ho saktay hain. Project Vice aur Seminar agar koi ho to wo online karaye jasakte hain.

TSCEE ney imtehanaat ke liye mayaari 3 ghantay ki muddat se ek ghanta kam karne ka bhi faisla kiya, Yani ab imtehanaat sirf 2 ghantay ke liye hai is ke ilawa riwayati UG programs ki soorat mai emthanat rozana 2 Sesions mein karwaye jayen. –YTN STAFF