Wednesday, May 7, 2025
HomeTrending NewsPalestine mein tareekhi Church ko ibadat ke liye khol diya gaya

Palestine mein tareekhi Church ko ibadat ke liye khol diya gaya

Ramallah: Palestine ke maqboza maghribi kinare ke janoobi shehar Bethlehem mein qaim Esaion ke tareekhi girja ghar Church of the Nativity ko ibadat ke liye khol diya hai. Tafseelaat ke mutabiq Palestine hukkaam ne maghribi kinare ke ilaaqoun mein corona waba ke asraat kam karne ka elaan kiya hai aur kaha hai ke ibadat gaahoun ko batadreej aur ahteyati tadabeer ke tehat kholnay ka faisla kiya gaya hai.

Bethlehem mein waqay tareekhi girja ghar Church of the Nativity ko hazrat Isa Alaihissalam ki jaye paidaiesh ke hawalay se shohrat haasil hai. Hukoomat ki taraf se Church mein 50 se kam afraad ibadat ke jama ho saktay hain magar is ke liye shart hai ke un mein se kisi ko bukhaar ya corona se millti julti koi doosri alamat nah ho aur wo cheharoun ko hifazati Mask se dhaanp kar rakhen.

Is Church ko 5 March ko corona ki waba phelnay ke baad band kardiya gaya tha jis ke nateejay mein Palestine sayahat ko kaafi nuqsaan pouncha hai. Palestine wazeer sayahat ne kaha maseeh ki paidaiesh ne 2000 saal se bhi ziyada arsa se logoun ke diloun mein umeed peda ki aaj Church ke iftitah se poori duniya ke liye umeed ki kiran roshan huvi hai. Wo umeed ye ke corona ki waba jald poori duniya mein mukammal tor par jald khatam hogi.

Khayaal rahay ke Garb Urdan mein corona ke 423 mareez samnay aaye hain jab ke 2 amwaat huvi hain. Palestine ke Wazeer e Azam Mohammad Shtayyeh ne kaha tha ke infection mein kami ke baad pabandioun ko kam karne ke liye Masajid, Girja gharoun aur kaam ke maqamat ko khoola ja raha hai. –YTN STAFF