Sunday, April 20, 2025
HomeHyderabadShadi khaney weeraan, senkdoun khawateen be-rozgaar, hukoomat se madad ka mutalba

Shadi khaney weeraan, senkdoun khawateen be-rozgaar, hukoomat se madad ka mutalba

Hyderabad:  Senkdoun ladkiyan aur khawateen jo aam tor par Hotles, shadi khaanoun aur taqarib ke deegar halls mein khidmaat anjaam dete hue muaash haasil karti hain, ab woh be rozgaar hain, dosray alfaaz mein kaha jaye to woh sadkon par aagai hain jabkay un ka koi pursan-e-haal nahi hai. samaji kaarkunoun ne unki madad ke liye fori iqdamaat ka mutalba kiya hai.

ladkiyan aur khawateen un logon ka hissa hain jo shadyion, istaqbaal, saalgirah ke ijitmaat aur corporate taqarib sameit badey kamoun mukhtalif kirdaar ada karti hain. khanay ki khidmat se lekar safai karne walon ke kirdaar tak kisi programme mein shirkat karne aur mulazmat par inhen 500 se 800 rupay ke darmiyan ujrat bhi adaigi ki jati hai. is tarhan ke taqarib mein rehne aur kaam karne wali ziyada tar khawateen Telangana ke deegar azlaa ke alawa maharashtra, karnatak, chateesgarh, maghribi bangal aur shumal mashriqi ilaaqon se talluq rakhnay wali deegar azlaa ki hain.

Secunderabad mein muqeem chhateesgarh ki Shehnaz ne kaha ke corona ke marz ne zehen ke alawa pait par kaari zarb lagai hai kyunkay taqarib mein hum plate counter per khade hona, mehmanon ko khana paish karna, corporate programon mein namkeen aur soft drinks peish karna waghera jaisay mukhtalif kirdaar ada karti hain lekin ab chunkay is tarhan ke awaami taqarib nahi horahee hain aur hum be-rozgaar hain.

Maheman nawazi ki sanat se wabsta afraad ke mutabiq shehar mein events ke muntazmeen ke liye 100 ke qareeb agent kaam kar rahay hain.

Champapet ke ek muntazim Mohammed shoeb ney kaha hai ke taqreeban 5000 ladkiyan aur nojawan khawateen un dosray darjay ki event ke muntazmeen par barah e raast inhisaar karti hain jo event ki intizamia ki badi companiyon se raabtey mein hain. Mohammed shoeb ney mazeed kaha ke order milnay par woh jaldi se ladkiyon ya khawateen ko function mein taawun karne ka bandobast karte hain. pichlle kuch mahino se lock down ki wajah se koi badi taqreeb nahi hui hai aur hum kaam nahi kar rahay hain.-YTN STAFF