Dubai: UAE mein laser ke zariye corona ke mareez ka pata laganay ke liye taiz raftaar Technology ka istemaal kiya ja raha hai. UAE ki maroof Laboratory QuantLase ney laser ke zariye coronavirus ka lamhoon mein pata laga lainay wali Technology haasil ki hai. Ye laboratory ( IHC) company ke matehat medical research ka Wing hai. Tafseelaat ke mutabiq un dinoun duniya bhar ke science daan coronavirus ke mashkook mamlaat ki tasdeeq ke liye taiz raftaar Technology tak rasai ki daud mein lagey huve hain.
Nayi Technology ki badolat UAE ko poori duniya mein numaya maqam mil jayegi. Emarat Technology, Jiddat Tarazi aur tehqeeq ke hawalay se International center ki hesiyat haasil kiye huve hai. Mahireen ke bamujab nai Technology ki badolat khoon ke khalioun mein coronavirus pahunchte hi is ka patah lagaya ja sakta hai. Nayi Technology ke zariye pooray mulk mein corona test baday pemanay par taizi ke sath kiya jasakay ga. Corona se mutasireen par nazar rakhi jasakay gi aur mulazmeen mein virus ko phelnay se roka jasakay ga.
Emarati wazeer e sahet Abdul Rahman bin Mohammad bin Nasser Al Owais ne kaha hai ke coronavirus ko phelnay se roknay ke liye QuantLase ki Technology mo-asar saabit hogi. Duniya bhar ke liye apne darwazay khole huve hain sab loog is se faida uthasakte hain. Unhoun ne mazeed kaha ke nai Technology ke mo-asar honay ki azmaish ke baad behtareen nataij ki tawaquaat hain. Ye mo-asar aur nai Technology hai aur is ki badolat hamara muashra ziyada mehfooz hojayega. –YTN STAFF