Mecca Mukarama: Harmain Sharifin ki General Presidency ki janib se Haram muki ki teesri towsee ke mansoobay par kaam dobarah shuru karne ki ijazat day di gayi hai. Saudi khabar rasan idaray ke mutabiq ye ittila di gayi hai ke Masjid Al Haram aur Masjid Al Nabawi ki General Presidency ke Project and Engineering shobay ki janib se Haram muki shareef ki teesri towsee ke baqi kamoun ko mukammal karne ka Licenses jari kar diya gaya hai.
Project and Engineering shobay ki janib se wazeh kiya gaya hai ke dobarah shuru honay walay kamoun mein markazi darwazay ki takmeel, Chatoun ki araish ke liye marble ki tanseeb, Sehan mein mojood mehraboun ki Araish aur deegar ahem umoor shaamil hain.
Wazeh rahay ke Haram Shareef mein namazioun ki kam tadaad ko mad e nazar rakhtay huve mutaliqa hukkaam ki janib se hum ahangi aur koshisho ke baad ruke huve baqi kamoun ke mansoobay ki takmeel ke liye amal-dar-aamad par tabadlah khayaal kiya gaya hai.
Khadim Harmain Sharifin Shah Salman Bin Abdalaziz ki khwahish hai ke zaireen Haram ko har terhan ki raahat aur aaraam ka mahol faraham kiya jaye. Jis ke liye mujawaza mehakmoun ki janib se mukammal taawun ke sath Harmain Sharifin ke mutaliqa mansooboun ki takmeel aur coronavirus se bachao aur deegar hifazati iqdamaat kiye ja rahay hain. –YTN STAFF