Riyadh: Saudi wizarat sahet ne kaha hai ke Ramzan ke douran Corona ke 10800 mareez dawakhanoun se sahet yab honay ke baad ghar rawana kardiye gaye hain. Ye ab tak shifa panay waloun ka 84 feesad hain. Waba ke aaghaz se le kar ab tak mumlikat ke tamam ilaqoun mein 12737 mareez corona se shifa pa chuke hain.
Tafseelaat ke mutabiq Virus se sahet yab honay waloun ki tadaad naye mamlaat ke hawalay se 30 feesad tak poanch gayi. Mumlikat mein corona ke 40 hazaar se ziyada mareez Report ab tak ho chukay hain. Mohlik virus se marnay waloun ki tadaad bohat kam hai jo kay 255 tak mehdood hai.
Yaad rahay ke wizarat sahet ke tarjuman Mohammad Al-Abad Al Ali keh chuke hain ke coronavirus se marnay waloun ki tadaad sahet panay waloun ke muqablay mein be hadd kam hai. Wizarat sahet ke tarjuman ne Ramadan ke shuru mein tavajja dilaye thi ke aindah ayyaam mein sahet yab honay waloun ki tadaad mein musalsal izafah hoga aur jald corona ki waba se nijaat palenge.
Darin asna Saudi Arab ke paanch ilaqay Novel corona virus se pak hogaye. Un ilaqoun mein jitne afraad virus mein mubtala huve they tamam sahet yab ho chukay. Wizarat sahet ne bayan jari karkay bataya hai ke Al-Aqeeq, Riyadh Al-Khabra aur degar elagu mein corona ke tamam mareez sahet yab hogaye jabkay Ahad Rafidah mein corona se mutasir honay walay 4 mareez bhi shefayab hogaye. Sihaat mein bhi 2 mareez Record par aeye they wo bhi sahet yab hogaye. –YTN STAFF