Saturday, May 10, 2025
HomeOthersBusinessSaudi Arabia: khawateen online taxi service chalana shuru kar diya

Saudi Arabia: khawateen online taxi service chalana shuru kar diya

Saudi arab mein khawateen ko car chalaney ki ijazat milney ke bad ab Maqbool online Services ki   taxis ko khawateen drivers ney bhi chalana shuru kardiya. Amal Farhat ko pehli khatoon ‘captain’ honey ka aizaz haasil huva hai. Woh sehat aama mein quality assurance ki degree ki haamil hain aur sehat ke shoba mein miyaar ko barqarar rakhney se mutaliq aik mushawarti company chala rahi hain. is masrufiyat ke bawajood unhon ney online taxi serive ke liye driver ke taur par kaam ka intikhab kya hai aur woh yeh saabit karna chahti hain ke Saudi khawateen kisi bhi shoba mein kaam ki bakhoobi salahiyat rakhti hain. Unhon ney apne tajurbah ke baarey mein bataya ke ”khawateen un ke sath safar mein khud ko mehfooz samjhti hain kyunkay unhein mard driveron ke sath safar ki soorat mein jo masail darpaish ho saktay hain, unhein main bakhoobi samjhti hoon. Mujhe mere trainers ney bataya tha ke driveron ko harasan kya ja sakta hai. Mujhe company ki taraf se is zimn mein bohat muawnat haasil hui hai. Agar koi musafir na munasib harkat karta hai to is soorat e haal se nimatney ke liye aik protocol maujood hai”. Aik aur online taxi service ke liye Ikhlaas Albalushi nami aik khatoon ney bataur driver apna naam ka indraaj karaya hai. Unhon ney mangal ko aik musafir khatoon ko is ki jaye manzil par pohanchaya tha aur yun apna pehla safar mukammal kya tha. Unhon ney bataya ke company ney April mein khatoon driveron ko bharti karne ka a ellan kya tha aur unhon ney isi waqt darkhwast dair kar di thi. Un ki taxi company ney 20 saal se zayed Umar aur karaamad driving licence ki haamil Saudi khawateen se darkhwasten talabb ki theen