Saturday, May 24, 2025
HomeHyderabadHyderabad mein tamirati sargarmia badh rahi hain

Hyderabad mein tamirati sargarmia badh rahi hain

Hyderabad: Aahista aahista aur mohtaat andaaz mein shehar Hyderabad ke mutadid maqamat par tamirati sargarmia dobarah shuru hogayen. Doosri alfaaz mai pursukoon mahol jo 40 din se ziyada kaam ke maqamat par ghalib tha ab wo awazoun ki shakal mein badal gaya hai, Jis mein tamirati lifts ki cheekhain, Kaarkunoun ek dosray ko aawaz dena aur kaam mein Concrete mein ghul milnay wali mashinen shaamil hain.

Afraadi qouvat aur maday ke sath tamirati kam dobarah shuru hogaye hain  halanke mazdoor kaafi tadaad mein apne aabadi maqamat ki taraf rawana hogaye hain lekin kayi maqamat par kaam shuru hogaye hain. Intizamia rozana ki bunyaad par sorat e haal ka jaiza le rahay hain aur kamoun par gehri nigrani kar rahay hain. Un mein se beshtar apne Stock ki dasteyabi ke Record ko Update kar rahay hain, Jis mein Cement, Steel, Rait waghera shaamil hain, Aur isi ke mutabiq kaam ke nizaam ul auqat ki mansoobah bandi kar rahay hain.

Telangana ke Chairman G Ram Reddy ne kaha ek achi alamat ye hai ke shehar aur riyasat ke deegar hissoun mein bhi bohat se maqamat par kaam shuru ho chukay hain. Dastyab afraadi qouvat ki madad se hum cheezoun ka jaiza le rahay hain aur apne kaam ke nizaam ul auqaat aur ahdaaf par nazar sani kar rahay hain. Bohat saaray mamaroun ko sab se badi pareshani Monsoon ki aamad hai. Monsoon ko mushkil se ek maheena baqi reh gaya hai, Bohat se loog apni hikmat e amli ko dobarah kaam karne aur kuch kamoun par tavajja dainay par majaboor hain.

Misaal ke tor par kuch Builders ne mukhtalif maqamat par khandaqein khode hain aur in ki tarjeeh Monsoon ke aaghaz se pehlay hi divaren taa-meer karna hogi. Isi trah kuch kaam palastar ke marhalay par phas chuke honge aur barish ke douran un kamoun ko anjaam nahi diya ja sakta. Un anasir ko zehan mein rakhtay huve mamaroun ko apne kamoun par nazar sani aur tarjeeh dainee hogi. Jab ke deegar reyastoun mein builders ke liye Cement, Rait, Steel waghera sameit material ki farahmi baday khadshaat hai lekin Telangana mein ye masail nahi hai.

Unhoun ne kaha ke Telangana hukoomat is sanat ko mukammal taawun faraham karne ke liye achchhaa kaam kar rahi hai. Reddy ne kaha ke mazdoroun ki naqal-o-haml ki gadiyoun ke liye paas faraham karne ke liye ek khusoosi WhatsApp Group tashkeel diya gaya hai aur ek DIG Rank ka Nodal Officer un kamoun ki nigrani kar raha hai. Sanat par Lockdown ke asraat ke baare mein, Unhoun ne kaha ke is sorat e haal ka jaiza lena aur aadad-o-shumaar aur imkanaat ko samnay lana waqt ka taqaza hai. Lekin kuch mahino ke baad tamirati sanat mai uchaal aajayga. -YTN STAFF