Ramla: Feb se le kar ab tak Israeli Arab Dr Khatam Hussain har subah ko Sooraj tulu honay se pehlay uth kar apne kaam ke liye nikalti hain jo wo Coronavirus ki waba se ladnay mein anjaam day rahi hain. Khabar rasan idaray ke mutabiq 44 sala Khatam Hussain Israel ki pasmandah manay jaaney wali Arab tabqa ki ahem rukan hain, Jo sahet ke mojooda bohraan mein nihayat ahem kirdaar ada kar rahi hain.
Khatam Hussain Israel ke shehar Hifa ke nazdeek qaim Rambam Hospital mein Coronavirus se nimatnay walay Unit ki sarbarah hain. Mulk ke shumali hissay ke sab se baday dawakhana mein wo kayi mahino se rozana 12 ghantoun tak Duty anjaam day rahi hain.
Unhoun ney kaha hai ke ye ek nihayat hi mushkil kaam hai. Koi din ek terhan ka nahi hota. Hamari zindaganian palat kar reh gayi hain. Wazeh rahay ke Israel mein Coronavirus ke 15 hazaar se zayed mamlaat Report ho chuke hain aur is waba se honay wali amwaat ki tadaad 202 tak poanch gayi hai. Taham Khatam Hussain ney kaha hai ke is aalmi waba se ladtay huve unhoun ney kayi mareezoun ke sath yadgar lamhaat guzaray hain.
Aisay hi ek waqeye ke baray mein baat karte huve unhoun ney kaha hai ke ek zaeef joda Virus ki wajah se shadeed bemari ki haalat mein dawakhana laya gaya. Un mein se shohar ki haalat jaldi kharabi ki taraf jaaney lagi to dawakhana ke amlay ney inhen aur un ki ahliya ko aakhri baar milnay ki ijazat di jis ke baad shohar ka intqaal hogaya. Aur is waqea ney sab ko ranjida kardiya. Insaan honay ki hesiyat se ye mushkil hai. Poora tibbi amlah dukhi tha.
Israeli Arab Palestines se talluq rakhtay hain jo is sarzamen mein 1948 ke baad ruke they jab Israel ney apni azadi ka elaan kiya tha. Arab Israel ki abadi ka 20 feesad hain aur shoba tib mein un ki tadaad bohat ziyada hai. 2018 mein Israeli Wazeer e Azam Benjamin Netanyahu ney Parliaman mein ek mutanazia qanoon pesh kiya tha jis ke tehat Israel ko yahudioun ki riyasat qarar diya gaya tha. Is ke baad Israeli Arab aur deegar aqlitoun mein ghusse ki lehar daud gayi thi jin ke mutabiq ye iqdaam un se un ka mulk mein rehne ka hak cheennay ke mutradif tha.