Canadian Wazeer e Azam Justin Trudeau ko sun glasses ka tohfa lena mehanga par gaya, hakkaam ke samnay zahir nah karne par Trudeau par 100 Canadian dollar ka jurmana kardiya gaya. Justin Trudeau ko guzashta saal Canadian soobay Prince Edward island ke sarbarah ne do besh qeemat branded sun glasses ke tohfay diye thay, jisay zahir nah karne par Wazeer e Azam ko 100 dollar ka jurmana ada karna para hai. Canadian qanoon ke mutabiq mulki Wazeer e Azam ko 200 dollar se zayed maliyat ke tohfe ko 30 dinon ke andar laazmi declare karna hota hai. Trudeau ke press secretary ke mutabiq intizamia ki ghalti ke baais tohfay ko declare nah kya jaska, sun glasses ki qeemat 300 aur 500 dollar hai.