Monday, April 21, 2025
HomeTrending NewsDubai mein Malls kholnay ki tayyariyan, Awam ke liye zaroori hidayat jari

Dubai mein Malls kholnay ki tayyariyan, Awam ke liye zaroori hidayat jari

Dubai: Coronavirus ki wajah se Shopping Malls ko dobarah kholnay sameit Dubai mein Lockdown ki mojooda sorat e haal par nazarsani ki ja rahi hai. Dubai ke mehakma muashiaat ki janib se ye khabar aisay waqt mein samnay aayi hai jab Abu Dhabi ne elaan kiya hai ke Coronavirus ke baais Lockdown mein narmi ke baad Malls ko khoola ja sakta hai. Tafseelaat ke mutabiq Dubai ke mehakma muashiaat ke ek hidaayat naame ( Sercular ) ke mutabiq Shopping Malls dobarah batadreej khilnay ke liye tayyar rahen. Is Sercular mein kaha gaya hai ke Shopping Malls mein atay huve loog is baat ka khayaal rakhenge ke wo Mask pehnein aur apne sath Hand Sanitizers bhi rakhen.

Dubai ke mehakma muashiaat ne ye bhi kaha hai ke Shopping Malls ko har din jaraseem se pak karen aur un Malls mein logoun ke maayne ke liye Screening ka intizam bhi kiya jaye. Lockdown mein narmi ke baad kisi bhi kharedar ko 3 ghantay Shopping Malls mein theharnay ki ijazat hogi.

Shopping ke douran samaji faaslay ka bhi khayaal rakha jayega. 3 se 12 saal aur 60 baras se ziyada omar ke afraad ko Shopping Malls ke andar jane ki ijazat nahi hogi. Coronavirus ke mazeed phelao ko roknay ke liye Dubai mein tafrehi aur saqafati maqamat band rahenge. Dubai ke mehakma muashiaat ne Emarat mein samaji aur saqafati umoor se mutaliq bhi usool waza kiye hain.

hukoomat ke tey shuda qawaid o zawabit ke mutabiq rishte daaroun ke ghar aana jana ho sakta hai. Mehakma muashiaat ne logoun ko mashwara diya ke baher jatay huve apne cheharoun ko nah chhoyin. Buzurag afraad aur daimi bimarioun mein mubtala afraad ghar par rahen aur awaami maqamat par nah jayen. Ye bhi kaha gaya hai ke Namaz ke liye ijtemaat ki ijazat nahi jabkay ek hi ghar mein rehne walay afraad apne ghar par hi ibadat kar satke hain.

Emarat ki hukoomat ne kaha hai ke ghar se nikaltay waqt khangi aur awaami Transport par safar karnay walay afraad Mask aur Hand Sanitizers ka istemaal karen. Ramadan mein 10 se ziyada afraad ke ijtima ki ijazat nahi hogi. Mehakma muashiaat ne logoun ko mashwara diya hai ke deegar gharanoun ke sath apni ashyae khord o nosh bhi nah banten. Un qawaid o zawabit ke mutabiq gharelo mulazmeen baher logoun se nah milein aur nah hi kisi se khana len. Shopping Malls ki Car Perking 75 feesad band rahenge. Dukandaar sarfeen ke jane ke baad tamam cheezoun sameit zeyorat ko Sanitizer karen. Coronavirus ke phelao par qaboo panay ke liye mutahidda Arab Emarat mein Shopping Malls March mein band kar diye gaye they. –YTN STAFF