Saturday, May 3, 2025
HomeTrending NewsIsha ki Azan mein takheer na karne ke ehkamaat jari

Isha ki Azan mein takheer na karne ke ehkamaat jari

Riyadh: Saudi Arab ke wazeer Islami Abdullatif bin Abdulaziz Al-Sheikh ki janib se Ramadan mein Isha ki Azan waqt par dainay ke ehkamaat jari kardiye gaye hain. Saudi khabar-rasan Agency ke mutabiq wazeer Islami umoor ki janib se jari honay walay ehkamaat mein mazeed kaha gaya hai ke mumlikat ki tamam Masajid mein Isha ki Azan mein hasb sabiq takheer nah ki jaye jo aam tor par mah Ramadan mein karne ka rivaaj tha.

Coronavirus ki wajah se mumlikat ki tamam Masajid mein jamaat ke sath farz namazoun ko earzi tor par rokk diya gaya hai. Masajid mein sirf paanchoun waqt ki Azan di jati hai, Har Azan ke sath muezzin namaz gharoun mein ada karen ke alfaaz ka izafah karte hain.

Yaad rahay Saudi Arab mein har baras mah Ramadan Ul Mubarak mein roza aftaar karne ke baad Isha ki Azan mein kuch der ki takheer kardi jati thi taakay logoun ko sahoolat ho aur wo Iftaari ke kuch der baad aaraaam karkay Namaz ke liye waqt par Masajid mein pahonch saken. Rivaaj ke mutabiq baaz Masajid mein Isha ki Azan aur jamaat ke darmain waqfa badha diya jata tha jabkay baaz Masajid mein sirf Azan mein takheer ki jati thi.

Mojooda Corona ki sorat e haal ke hawalay se jab tamam Masajid mein Namaz ba-Jamaat par earzi tor par pabandi ayed hai aisay mein wazeer Islami umoor ne Isha ki Azan mein takheer karne ke amal ku rok diya hai taakay loog gharoun mein hi bar waqat Namaz ada karlen.

Wazeh rahay Coronavirus ki wajah se mumlikat ke tamam shehroun mein Curfew nafiz hai jabkay Jeddah sameit 9 shehroun mein Curfew aur Lockdown 24 ghantay ka hai. Is douran baaz ilaaqoun ko mukammal tor par moqafful bhi kiya gaya hai jahan rehne walay dosray ilaqay mein nahi nah jasakte aur nah hi dosray ilaqay ke loog un ilaaqoun jasakte hain. –YTN STAFF