Hyderabad: Hyderabad traffic police ke zareya lock down qawaid aur traffic qawaneen ki khilaaf warzi karne walay afraad ke khilaaf guzishta ek haftay mein 50 hazaar se ziyada muqadmaat darj huein.
Sab se ziyada tadaad muqadmaat ki tadaad Technology ki madad se darj kiye gaye hain – traffic junction par nasb hand hidden cameron aur nigrani walay cameron ke zareya khilaaf warzi karne walay afraad ki tasaveer lainay ke baad motorcycles ke khilaaf muqadma darj kiya gaya aur un muqadmaat ki tadaad 46,100 hai.
Shehar mein mutadid check points par tainaat traffic police teamon ney Motor cycles ko roknay ke baad mukhtalif khilaaf varzyon ke muqadmaat bhi darj kiye hain. un traffic teamon ke zareya lag bhag 4700 muqadmaat darj kiye gaye hain aur 1100 se zayed gadiyan zabt ki gayi hain .
Anil kumar, additional commissionaire ( traffic ) ney kaha ke traffic police lock down qawaid ki khilaaf varziyoun ke alawa mamool ke traffic qawaid ki khilaaf varzi ke mamlaat bhi darj kar rahi hai. hyderabad traffic police ke apne online portal par chalaan upload karegi aur khilaaf warzi karne walon ko jurmane bhughatna padinge.
Unhon ney mazeed kaha, aisi sooratoun mein jahan gadiyon ko zabt kiya jata hai, malkaan ko adalat mein paish hona padega. traffic police ki teams shehar mein qaim tamam junctions aur check postoun par 24 ghantay kaam kar rahi hain aur khilaaf warzi karne walon ka notice le rahi hain. ke Babu rao, DCP traffic ney kaha ke woh sadak par gadiyon ki naqal wo harkat par nazar rakhnay ke liye khudkaar number plate ki shanakht ( ANPR) software istemaal kar rahay hain.
Lock down se mutaliq GO ke jari kardah mutabiq, koi bhi shakhs chooth ke siwa 3 kilometer se agay nahi jana chahiye. unhon ney kaha, ANPR ki madad se, hum khilaaf warzi karne walon ki nishandahi kar rahay hain aur muqadmaat book rahay hain. –YTN STAFF