Riyadh: Coronavirus ki wajah se saari duniya pareshan hai aur is ke sad-e-baab ke liye jo bunyadi iqdamaat kiye jarahay hain is mein Janata Curfew ya awaami curfew bhi qabil zikar hain kyunkay samaji rabtoun aur mulaqaat se Virus ke ek dosray mein muntaqil honay ke khadshaat badh rahay hain lehaza awaami mulakatoun ko roknay ke ehkamaat kiye jarahay hain aur Saudi Arab ne bhi juzwi Curfew ka elaan kardiya hai.
Khadim Harmen Sharifin Shah Salman Bin Abdalaziz ne Coronavirus ke philav ko qabo karne, Shehrioun aur muqeem ghair mulkioun ki sahet aur salamti ki khatir peer 23 March ki shaam se 21 din ke liye mumlikat bhar mein juzwi Curfew nafiz karne ka hukum jari kiya hai.
Arab News aur Saudi khabar rasan Agency ( SPA) ke mutabiq Shahi farmaan mein kaha gaya hai ke Curfew rozana shaam 7 se sabah 6 bajey tak 21 din jari rahay ga. Shah Salman Bin Abdalaziz ne ye hukum wizarat sahet ke is bayan ke baad jari kiya hai jis mein kaha gaya tha ke itwarko corona ke 119 naye mareez samnay aeye hain. Saudi Arab mein Corona ke mareezoun ki jumla tadaad badh kar 511 hogayi hai.
Shehrioun aur muqeem ghair mulkioun ko un ke apne tahaffuz ke liye Curfew auqaat ke douran apne gharoun mein rehne ki hidaayat di gayi hai. Sarkari aur niji shobay ki ahem san-atoun ke wo mulazmeen jin ke kaam mein musalsal karkardagi darkar hai Curfew se mustasna honge. Security, Fouji, Media ke shobo ke mulazmeen, Sahet aur khidmaat ke ahem shobo ke karkunaan ko bhi istashna haasil hai. Bayan mein kaha gaya ke wizarat dakhla Curfew ke nifaz ke liye zaroori iqdamaat uthaye gi. Tamam Civil aur fouji hukkaam ko is silsilay mein wizarat dakhla se mukammal taawun ka hukum diya gaya hai. –YTN STAFF