Saturday, May 10, 2025
HomeIndiaJyotiraditya Scindia ne apni khandani baghaawat ki riwayat ko barqarar rakha

Jyotiraditya Scindia ne apni khandani baghaawat ki riwayat ko barqarar rakha

New Delhi: Kisi bhi siyasi Leader ka kisi jamaat se barsoun wabsta rehne ke baad achanak kisi aur jamaat khaas kar ke kattar hareef jamaat mein shaamil hojana koi nai baat nahi hai lekin Jyotiraditya Scindia ne Congress ke sath jo kuch kiya hai is ke zareya unhoun ne apne khandan ki rivayet ko barqarar rakha hai kyunkay maazi mein un ke abaa wajdad ne bhi aisay hi karnaama anjaam diye hain. Jyotiraditya Scindia ne kal jo kuch kiya hai wo un ke khandan ke liye koi naya nahi hai. Waqti tor par Congress aur Madhya Pradesh ke liye unhoun ne pareshaaniya zaroor khadi ki hain aur apne liye unhoun ne zaroor kuch siyasi faida utha liye hain lekin siyasat ke lambay safar mein unhoun ne apna qad bohat chhota kar liya hai.

Un ki Dadi Vijaya Raje Scindia ne 1967 mein Congress ki hukoomat kirakar Madhya Pradesh mein makhloot hukoomat qaim ki thi. Is waqt unhoun ne is waqt ke Chief Minister D.P Mishra ki hukoomat se 35 arkaan ke sath is liye alehadgi ikhtiyar kar li thi kyunkay Chief Minister ne Raaj gharane par tanqeed kar di thi. Is ke baad Govind Narayan Singh wahan ki makhloot hukoomat ke Chief Minister banay they jo hukoomat mehez 19 mah hi chal payi thi.

Vijay Raje Sandhya ne is ke baad jin Singh mein shamoliat ikhtiyar karli aur phir un ke betay aur Jyotiraditya Scindia ke waalid Madhavrao Scindia siyasat mein daakhil huve aur 26 saal ki omar mein wo Guna ki nashist se intikhab jeetay. 1977 mein wo azad umeed waar ki hesiyat se laday aur jeetay aur phir unhoun ne apne khandan ko chhodhkar Congress mein shamoliat ikhtiyar kar li kyunkay is waqt Congress iqtidaar mein thi. Unhoun ne Gwalior se 1984 mein Atal Bihari Vajpayee ko shikast di thi.

Madhavrao Scindia bhi jab Chief Minister nahi ban paye they to unhoun ne Congress chhodhkar United front ki hukoomat mein shamoliat akhtyar karli thi aur phir baad mein dobarah Congress mein aagaye they. Agar Scindia Raj gharane ki tareekh par nazar daali jaye tu andaza hota hai ke ye iqtidaar ke alawa kabhi kisi ke sage nahi huve. Baghaawat karna aur wapas aana un ke khoon mein hai aur wo kisi nazriya ke sath nahi judey hain. Khud Madhavrao Scindia ki 2 behnain BJP mein hain. Scindia ke is amal se ye wazeh hogaya hai ke wo iqtedar ke liye kisi bhi hadd tak ja satke hain aur un ko apne raye dahindgaan se koi matlab nahi hai, Un ki soch abhi bhi wohi Raj gharane wali hai. –YTN STAFF0