Monday, April 21, 2025
HomeIndiaChalti Trains mein jaraim mein kami ke bawajood khawateen ke liye Railway...

Chalti Trains mein jaraim mein kami ke bawajood khawateen ke liye Railway safar hanooz ghair mehfooz

Hyderabad: Khawateen ke liye Rail ka safar kitna mehfooz hai is ka andazah laganay ke liye haliya dinoun mein honi wali ek tahaqeeq kaafi hai aur is ke haqayiq se pata chalta hai ke shayad Hindustan ko Bullet Train se ziyada Trains mein khawateen ki hifazat ko mazeed behtar bananay ki zaroorat hai.

Trains mein khawateen ki hifazat aur mehfooz safar ke zimn mein RTI ke ek sawal se pata chala hai ke 2017 se 2019 ke darmain Railway ihatay aur chalne wali Trains par 160 se ziyada esmatraizi ke waqeat darj huve hain, Jab ke esmatdarri ki tadaad 2017 mein 51 se kam hokar 2019 mein 44 hogayi hai, Jabkay 2018 mein is waqt izafah huva jab is terhan ke waqeat ki tadaad 70 hogayi.

Chandrashekhar Goar ke zareya dair kardah RTI ke jawab mein jo tafseelaat faraham ki gayi hain is ke mutabiq, 2017-2019 ke douran Railway ke ihatay mein 136 aur chalti Trains par 29 zayad-ti aur esmatraizi ke waqeat darj huve hain aur unki majmoi tadaad 165 hai. RTI ko jo ataa faraham ki gayi is mein kaha gaya hai ke pichlle saal 44 zayadtio ke jo waqeat darj huve hain is mein se 36 waqeat Railway ahatoun mein runuma huve hain jabkay 8 waqeat Trains par huve. Tafseelaat mein kaha gaya ke 2018 mein 70 zayadtio ke waqeat mein se 59 Railway ke ihatay mein aur 11 Trains mein Report huve hain. 2017 mein ittila di gayi 51 zayadtio mein se 41 Railway ihatay mein aur 10 chalti Trains mein then.

Khawateen ke khilaaf zayadtio ke ilawa juraim ke 1672 waqeat huve hain aur un mein Railway ihatay mein 802 aur Trains mein 870 waqeat runuma huve hain. Un 3 barsoun mein aghwa ke 771, Daketi ke 4718, Qatal ki koshish ke 213 aur Railway ihatay aur Trains mein 542 qatal ke muqadmaat darj they. Railway mein hifazati intizamaa faraham karna reyasti police ki zimma daari hai, Juraim ki rok tham, Muqadmaat ke indraaj, Un ki tafteesh aur Railway ihatay par aman o amaan barqarar rakhnay ke sath sath chalti Trains mein hifazati intizamaa faraham karna bhi reyasti hukoomatoun ki zimma daari hai, Jo wo Government Railway Police ( GRP ) District Police ke sath poori karti hai aur Railway ne khawateen ki salamti ko yakeeni bananay ke liye bohat se iqdamaat uthaye hain.

Pareshan haal musafiroun ko security se mutaliq imdaad ke liye security help line 182 ko Indian Railway ke liye 24 ghantay kargard kardiya gaya hai. Khawateen musafiroun ke liye makhsoos daboun mein mard musafiroun ke dakhlay ke khilaaf karwai ki jati hai aur giraftar afraad ko Railway qanoon 1989 ke section 162 ke tehat qanooni karwai aur sakht saza di jati hai. 2018 aur 2019 ke douran, Bal tarteeb 139422 aur 114170 mard musafiroun ke khilaaf khawateen musafiroun ke liye makhsoos daboun mein ghair majaz dakhlay ya safar karnay ki padaash mein qanooni karwai ki gayi hai. Lady RPF ohdedaroun ke zareya Metropolitan shehroun mein chalne wali khawateen khusoosi Trains ki khidmaat faraham ki ja rahi hain.

Musafiroun ki security badhaane ke liye 2019 ke Couches ( November 2019 tak ) aur 511 Railway Stations ( Decemeber 2019 tak ) mein fixed CCTV camera muhayya kiye gaye hain. Iqdamaat se Railway ke tamam juraim mein kami aayi hai lekin hanoz khawateen ke liye Railway safar mukammal mehfooz nahi kaha ja sakta hai. Saal 2019 mein, Railway ihatay aur Trains mein 55826 muqadmaat darj huve huve jabkay 2017 mein juraim ki ye tadaad 71055 thi. Hukkaam ki janib se kiye jany walay iqdamaat aur hukoomat ki janib se kiye jany walay dawoon ke bawajood khawateen mein Railway safar ko mehfooz tasawwur karne ka rujhan hanoz manfi soch ke dairay mein hi qaid hai. –YTN STAFF