Sunday, April 20, 2025
HomeSliderUAE mein jaali visa network be naqaab, sarGana khatoon giraftar

UAE mein jaali visa network be naqaab, sarGana khatoon giraftar

Dubai:  UAE mein jaali visa network ke barey mein wasee paemanay par tehqiqaat jari hain. Dubai crime branch ki khusoosi team ne Europi mumalik ka jaali visa laganay walay network ka suraagh laga kar sargana jo ke ek asiayi aurat hai ko bhi hirasat mein le liya. jaali visay ke liye dhokay ba’az hazaron dirham wusool kiya karte they. emirate today ki ittila ke mutabiq Dubai mein sargaram amal jaali visa dhoka dahi muqadma ki tehqiqaat ke liye crime branch ki team ne ghair mamooli kamyabi haasil ki hai.

Network ki Sarghana asiayi aurat hai jis se mazeed tehqiqaat jari hain. ja-al saaz saada looh afraad se Europi mumalik ka visa ( shengan) laganay ke hazaron dirham wusool kya karte they. giroh ke qabzay se UAE aqamah section ki jaali mahrin aur deegar dastawizaat bhi bar aamad ki gayi hain. zaraye ke hawalay se likha hai ke imrati aqamah section ke ek officer ko Europi mulk ke ek sifarat khanaay se ittila mili ke shengan visay ke liye 2 afraad ka muqadmah masool hua hai.

Sifarat khanaay ke ohdedar ne mazeed kaha hai ke masool honay walay dono muqadmaat mein jama karaye gay aqamoun ke barey mein shak hai ke wo jaali hain. aqamah section ke ohdedar ne tehqiqaat ki to inkishaaf hua ke Europi mulk ke sifarat khanaay mein jo aqame jama karaye gaye they wo jaali hi they. tehqiqati ohdedar ne jaali aqame sifarat khanaay se haasil kiye aur inhen crime branch ke hawalay kar diya. Crime branch ne is hawalay se team tashkeel di taakay ja-al sazoun ke network ko giraftar  kya ja sakay.

Jin afraad ke aqame sifarat khanaay mein jama karaye gay they un afraad ko crime branch mein talabb kiya gaya jinhon ne ja-al saz network ke barey mein ahem maloomat faraham kee. Ek mutasirah shakhs ne kaha ke unhon ne ek niji company ko 23 hazaar dirham ada kiye they taakay shengan visa haasil kya ja sakay jabkay dosray mutasirah shakhs ka bhi yahi kehna hai ke unhon ne shengan visa haasil karne ke liye itni hi raqam ada ki thi. –YTN STAFF