Dubai: Duniya ke har aam aadmi ki bunyadi zaroorat roti, Kapda aur makaan hota hai aur makaan mein bijli ki dasteyabi bhi bunyadi zaroriat mein shaamil hai. Bijli ki dasteyabi ke muamlay mein duniya bhar ke mumulk mein sahuliyaat manfi ya misbet hotay hain kyunkay kisi mulk mein bijli ki sarbarahi ghantoun munqita rehti hai to kuch mumulik aisay hain jahan barqi sarbarahi mein khalaal ka tasawwur bhi mahaal hai aur un ki hi mumulik mein Mutahidda Arab Emirate ( UAE ) bhi hai.
Dubai mein bijli o pani ke idaray ne bijli ki sarbarahi se mutaliq naya aalmi Record qaim kiya hai. Koi bhi sarif salana ausatan 1.8 Minute se ziyada bijli se mahroom nahi hota. Europi Union mein shaamil mumulik ke yahan is ka salana osat 15 minute ka hai. Emarat Al Youm ke mutabiq bijli ke idaray ke Executive chairman Sayeed Mohammad Al-Taher ne kaha’ bijli ki pedawar sarbarahi ke liye jadeed tareen Technology istemaal ki ja rahi hai. Mukammal Smart Network qaim kar rakha hai.
Bunyadi dhancha taraqqi yafta hai aur is ki tajdeed khudkar nizaam ke zariye hoti rehti hai. Sayeed Al-Taher ke mutabiq Dubai bijli o pani ke idaray mein smart Network ki hikmat e amli ikhtiyar ki gayi hai. 2035 mein kaam mukammal hojaye ga. Baaz mehdood mudti deegar mutwast meyaad aur baqi mandah taweel almead programme hain. Smart Network hikmat e amli taraqqi yafta bunyadi dhanchay par mushtamil hai. Yaad rahay ke Dubai bijli o pani ke idaray ki karkardagi kayi hawaloun se Europe aur America ki muntakhib companiyoun se ziyada behtar hai.