Telangana State Oriental Manusripts library and research Institute mein daneshwatoun ka khitaab
Hyderabad: Dr P. Subba Rao Directorial Telangana state oriental Manuscript library and research institute ke bamujab Shub e Urdu o Arabi, Farsi, Marathi aur Kannad ke bah ishtiraaq is library ke ihatay mein professor D. Ravinder principal Arts college, Osmaniya university ki sadarat mein ” Maktuta Shanasi “ ke mauzo par ek roza work shop ka shama roshan karte huve ineqad amal mein aaya. Dr Subba Rao Directorate Telangana State Oriental Manuscript library ne tamam muaziz mehmanoun aur hazreen ka istaqbaal karte huve apne istaqbalia kalmaat mein is library mein mojood Arabi, Farsi aur Urdu ke 17124 makhtotat ke Centralize ( 47 ) fanoon ke tehat tarteeb diye jane aur un mein beshtar makhtotat ki talai tahreeroun ( Gold Coated ) hone ki nah sirf aagahi di balkay kuch ahem makhtotat ko mushahida ke liye bhi rakha.
Mehmanِ khusoosi professor Fazalullah Mukaram sadar shoba Urdu, Hyderabad Central University ne apne khitaab mein nadir makhtotat ki haamil is library ko adbi mukhzan aur Directorate P. Subba Rao ko is khazane ka muhafiz khazanchi qarar dete huve research scholars ke targheeb ke liye mustaqbil mein bhi aisay programs jin mein mashq o mazolat ki gunjaish faraham ho munaqqid karne ki zaroratoun par zor diya. Professor Naseemuddin sadar shoba Urdu Maulana Azad Oriental Urdu university o Dean Faculty of languages ne apni mukhtebat mein khazane ( makhtotat ) ki ahmiyat uski qarat mein haail mushkilaat ka zikar aur un mushkilaat par qaboo pane ke liye taweel aur mukhtasir mudti work shaps ke ineqad aur Maktuta Shanasi ko nisaab mein shaamil karne ki zaroratoun par zor diya. Unhoun ne apna khitaab mein Arabi, Farsi aur Urdu ke makhtotat kutub khaanoun hi mein nahi balkay Banaras ke mandiroun bhi un ke mojood hone ka inkishaaf kiya.
Professor Ashraf Rafi sabiq sadar shoba Urdu, Jamia Osmaniya o sabiq rukan amila Mualana Azad National Urdu University ne apne klidi khutbe Subba Rao Directorate Telangana state oriental Manuscript library ki is ibtidayi koshish ki sarahana karte huve kaha ke muddat ke baad is library mein zindagi dekhne ko mili hai unhoun ne kaha ke chunkay doulat churaie ja sakti hai lekin ilm churraya nahi ja sakta lehaza Ilmi khazanoun se malamaal hotay huve lutne se be fikar hone ko aafiat jaanen. Unhoun ne apne khitaab ke aakhir mein un makhtotat mein chupay anmol khazanoun ko manzar aam par laane ke liye tamam jamiyaat ke asateza se apne apne research Scholar ku is janib tavajja mabzol karwane ki zaroratoun par zor diya.
Principal D. Ruvind ne apne sadaarti khetab mein director aur tamam muaziz mehmanoun aur shirkaye mahfil ko mubarak baad pesh karte huve kaha ke yaqenan ye Library ek Ilmi khazana hai hum sab ko is janib tavajja karne ki sakht zaroorat hai. Dr Muheed Javed sadar shoba Urdu, Jamia Osmaniya ne is work shop ke ineqad mein markazi kirdaar ada kiya. Dr Mushtaq Ahmed ‘ Mohtarma Salima Sultana aur Akber ki muawnat ne is work shop ko badi kamyabi se humkenar kiya.
Is work shop mein Jamia Osmaniya ke Urdu, Arabi, Farsi, Marathi aur Kannad shoba jaat ke asateza aur research Scholars alawa Dr Nazimuddin Munawar, Saddar shoba Urdu Satavahana University Karimnagar, Dr A.R Manzar Associate Professor, Hyderabad Central University, Dr Ateeq Iqbal Principal Urdu Arts college Himayatnagar, Dr Maimuna begum Assistant professor Urdu, indira priyadarshini college, Nampally, Dr Akhtar Sultana sadar shoba Urdu vanita maha vidyalaya dr Taj Ulnisaa aur Dr Mohammad Ehtisham Al Hasan Mujahid ke alawa deegar Scholars is work shop shareek rahay. Purtakaluf zhurane ke baad asnad ki taqseem amal mein layi gayi. Tanveer Fatima Research state Manuscript library ke shukriya ke sath is work shop ka kamyaab ekhtataam amal mein aaya. –YTN STAFF