Friday, May 9, 2025
HomeIndiaGandhi ki azadi ki ladai Ek drama, Hegde ke bayan par modi...

Gandhi ki azadi ki ladai Ek drama, Hegde ke bayan par modi se wazahat ka mutalba

New Delhi: BJP leader ki janib se gandhi jee ki azadi ki koshish ko drama qarar denay ke bayan par sakht tanqeed ki jarahi hai. Congress ke senior leader Shahsi Tharoor ne sabiq markazi wazeer aur BJP rehnuma Anant kumar Hegde ke Baba-e-Qoum mahatma gandhi ke baray mein diye gaye mutanazia bayan ki mazammat ki hai aur kaha hai ke wazeer-e-azam Narendra Modi ko is maslay par mulk ke samnay apna rukh wazeh karna chahiye.

Tharoor ne yahan parliment ke ahatay mein media se baat cheet ke douran Ek sawal ke jawab mein yeh tabsarah kya. unki tawajah jab karnatak ke BJP leader Hegde ke is bayan ki taraf dilae gayi jis mein unhon ne kaha hai ke Mahatma Gandhi ki azadi ki ladai Ek drama tha par Tharoor ne kaha ke BJP aur sangh pariwaar shuru se hi Mahatma Gandhi par hamlay karta raha hai aur ye is ki tareekh rahi hai aur is mein kuch bhi nai baat nahi hai.

Unhon ne kaha ke wazeer-e-azam Ek taraf Mahatma Gandhi ke usooloun ki baat karte hain jabkay doosri taraf unki party ke leader aur sangh pariwaar ke log gandhi jee ki tauheen karte hain aur un par hamlay karte rehtay hain lekin modi kuch nahi boltay.

Congress leader ne ye bhi kaha ke wazeer-e-azam ko is muamlay mein apna rukh wazeh karna chahiye taakay mulk ko pata chal sakay ke un ka rukh kya hai. unhon ne kaha ke modi ki qoul aur feal mein kaafi farq hai, woh boltay kuch hain aur unki party leader karte kuch hain.

Tharoor ne ye bhi kaha ke modi hukoomat ke wazeer logoun ko goli maarne ki baat karte hain aur is tarhan noujawanon ko tashadud ke liye bhadhkate hain lekin un par koi karwai nahi hoti hai. unhon ne ye bhi kaha ke babaye qoum mahatma gandhi congress ke liye hamesha se hi izzat wo ehtram ke ka izhar karte hain aur hamaray liye wo aaj bhi qabil-e-ehtram hain jabkay BJP ke liye woh kabhi qabil-e-ehtram nahi rahay hain aur hedge ke bayan se ye wazeh hogaya hai. –YTN STAFF